Shayari About Hindustan - Hindi Shayari

Jhanda Lehrana Hai

Jhanda lehrana hai,
Vande Mataram ke geet gana hai!
Sunakr desh ko lalkarna hai,
Aao milkar ab swapn dekha jo sakar karna hai!

Jhanda Lehrana Hai

Jamane Bhar Se Milte Hain

ज़माने भर में मिलते हे आशिक कई ,
मगर वतन से खूबसूरत कोई सनम नहीं होता ,
नोटों में भी लिपट कर, सोने में सिमटकर मरे हे कई ,
मगर तिरंगे से खूबसूरत कोई कफ़न नहीं होता

Ye Baat Hawao Ko Bataye Rakhna

Ye baat hawao ko bataye rakhna,
Roshni hogi chirago ko jalaye rakhna,
Lahu dekar jiski hifazat humne ki… aise,
TIRANGE ko sada Dil me basaye rakhna….

Ye Baat Hawao Ko Bataye Rakhna

Watan Hamara Aisa Na

Watan hamara aise na chhor paaye koi,
Rishta hamara aise na tod paaye koi,
Dil hamare ek hai ek hai hamari jaan,
Hindustan hamara hai hm hai iski shaan.

Watan Hamara Aisa Na

Naa Poochho Jamane Ko

Naa poochho jamane ko,
Kya hamari kahani hain,
Hamari pehchaan to sirf ye hai,
Ki hum sirf hindustani hain

Naa Poochho Jamane Ko

Chalo Phir Se Aaj Woh

Chalo phir se aaj woh nazara yaad kar le,
Shahido ke dil me thi vo jwala yaad karle,
Jisme behkar azadi pahuchi thi kinare pe,
Deshbhakto ke khoon ki vo dhara yad krle.

Chalo Phir Se Aaj Woh

Azadi Kabhi Sham Nahi Hone Denge

azadi kabhi sham nahi hone denge,
sahido ki kurbani badnam nahi hone denge,
bachi ho jo ek bund bhi garam lahu,
tab tak bharat mata ka aachal nilam nahi hone denge.

Azadi Kabhi Sham Nahi Hone Denge

Kuchh Nasha Tirange Ki Aan

Kuchh nasha Tirange ki aan ka hain,
Kuch nasha Matrbhumi ki shaan ka hai
Hum lahrayenge har jagah ye Tiranga
Nasha ye Hindustan ki shaan ka hain..!!

Kuchh Nasha Tirange Ki Aan

Shaan To Kardi Hamne

Shaan to kardi hamne watan ke naam par,
Kurbaaniyo se pai hai hamne aazaadi,
Hamara watan to laakho main ek hai,
Aan bhi kardi hamne watan ke naam par.

Shaan To Kardi Hamne

Na Maro Sanam

Na maro sanam bewafa ke liye,
Do gaz jameen nhi milegi dafan hone ke liye,
Marna hain toh maro vatan ke liye,
Hasina b duppta utar degi tere kafan ke liye.

Na Maro Sanam

Lehrayega Tiranga Ab Saare

Lehrayega Tiranga Ab Saare Asmaan Par,
Bharat Ka Naam Hoga Sab Ki Jubaan Par,
Le Lenge Uski Jaan Ya Khelenge Apni Jaan Par,
Koi Jo Uthayega Aankh Hamare Hindustan Par.

Lehrayega Tiranga Ab Saare

Mai Bharat Baras Ka

मैं भारत बरस का हरदम अमित सम्मान करता हूँ
यहाँ की चांदनी मिट्टी का ही गुणगान करता हूँ,
मुझे चिंता नहीं है स्वर्ग जाकर मोक्ष पाने की,
तिरंगा हो कफ़न मेरा, बस यही अरमान रखता हूँ।

Chand Sikko Mein Bikata

चंद सिक्को में बिकता ईमान देख रहा हूँ
लोगो का पेट काटते झूठे बेईमान देख रहा हूँ
कैसा करिश्मा है देखो इस अंधे कानून का
कुर्सियों पर चोरो को विराजमान देख रहा हूँ
इक दूजे का गला काटते देख रहा हूँ
क्या क्या नहीं देख रहा अब मत पूछ मुझसे
सूनी नजरो से घायल हिंदुस्तान देख रहा हूँ.

Khoon Se Khelenge Holi

Khoon se khelenge holi,
Agar watan mushkil mein hain,
Sarfaroshi ki tamanna,
Ab humarey dil mein hain,
Aao milkar kare desh ko salam Bolo mera bharat mahan.

Khoon Se Khelenge Holi

Na Masjid Ko Jante Hain

न मस्जिद को जानते हैं , न शिवालों को जानते हैं
जो भूखे पेट होते हैं, वो सिर्फ निवालों को जानते हैं.
मेरा यही अंदाज ज़माने को खलता है.
की मेरा चिराग हवा के खिलाफ क्यों जलता है……
में अमन पसंद हूँ, मेरे शहर में दंगा रहने दो…
लाल और हरे में मत बांटो, मेरी छत पर तिरंगा रहने दो