Shayari About Hair - Hindi Shayari

Chhedati Hain Kabhi Lab Ko

Chhedati Hain Kabhi Lab Ko Kabhi Rukhsaaron Ko,
Tum Ne Zulfon Ko Bahut Sar Pe Chadhaa Rakha Hai.

Chhedati Hain Kabhi Lab Ko

Mukhalif Baad-E-Sarsar

Mukhalif Baad-E-Sarsar Mein Zara Lahraane Do Zulfen,
Isi Mein Hum Watan Ka Apne Parcham Dekh Lete Hain,

Nazar Se Aasman Ko Dekhna Bhi Kya Zaroori Hai,
Teri Zulfon Mein Jaanam Kahkashan Hum Dekh Lete Hain.

Mukhalif Baad-E-Sarsar

Andaz Apna Dekhte Hain

Andaz apna dekhte hain aaine mein vo,
Zulfein sanwar kar kabhi zulfein bigar kar.

Andaz Apna Dekhte Hain

Zaahid Ne Mera

Zaahid Ne Mera Haasil-E-Imaan Nahin Dekha,
Rukh Par Teri Zulfon Ko Pareshaan Nahin Dekha.

Zaahid Ne Mera

Poocha Jo In Se Chand

Poocha jo in se chand nikalta hai kis tarah,
Zulfon ko rukh pe dal k jhatka dia keh yun.

Poocha Jo In Se Chand

Zulfon Ki To Fitrat Hai

Zulfon Ki To Fitrat Hai Lekin Mere Pyare,
Zulfon Se Bhi Zyada Balkhaye Chalo Ho.

Zulfon Ki To Fitrat Hai

Zulfein Bikher De Keh

zulfein bikher de keh zamane ko ilm ho,
zulmat haseen tar hai shab mahtab se.

Zulfein Bikher De Keh

Rukh-E-Taabaan To Huwa

Rukh-E-Taabaan To Huwa Jaan Ka Khwahaan Paida,
Dil Phansaane Ko Huwi Zulf-E-Prishaan Paida.

Rukh-E-Taabaan To Huwa

Ghani Zulfon K Saye Mein

Ghani zulfon k saye mein chamakta chand sa chehra,
Tujhe dekhon to kuch ratein sohani yaad aati hain.

Ghani Zulfon K Saye Mein

Kya Poochte Ho Ishq

Kya Poochte Ho Ishq Hai Zulf-E-Dona Ke Saath,
Ham Teera-Bakht Rahte Hain Kali Bala Ke Saath.

Kya Poochte Ho Ishq

Zulfon Ko Dia Hai

Zulfon ko dia hai rukh e zeba ne ajab rung,
Jalwon se tere aur bhi roshan huye saye.

Zulfon Ko Dia Hai

Zulf Se Hai Ai Pari Roo

Zulf Se Hai Ai Pari-Roo Husn Tera Jis Tarah,
Bas Yun Hi Zeenat Hai Ham Deewaanon Ki Zanjeer Ki.

Zulf Se Hai Ai Pari Roo

Rung Perahan Ka Khushboo

Rung perahan ka khushboo zulf lehrane ka naam,
Mosam e Gul hai tumhare baam par aane ka naam.

Rung Perahan Ka Khushboo

Us Ne Shaanon Pe

Us Ne Shaanon Pe Zulf Barham Ki,
Khair Yaa Rab Nizaam-E-Aalam Ki.

Us Ne Shaanon Pe

Khushbo Kahin Na Jaye

Khushbo kahin na jaye yeh israr hai buhat,
Aur yeh bhi aarzu keh zara zulf kholye.

Khushbo Kahin Na Jaye

Mauj-E-Naseem

Mauj-E-Naseem-E-Subah Ke Qurbaan Jaaiye,
Aai Hai Boo-E-Zulf-E-Mu’amber Liye Hue.

Mauj-E-Naseem

Apni Zulfon Ko Sitaron

Apni Zulfon Ko Sitaron Ke Havaale Kar Do,
Shahr-E-Gul Bada-Gusaaron Ke Havaale Kar Do.

Talkhi-E-Hosh Ho Ya Masti-E-Idarak-E-Junoon,
Aaj Har Cheez Bahaaron Ke Havaale Kar Do.

Apni Zulfon Ko Sitaron

Hum Hue,Tum Hue

Hum Hue, Tum Hue, Ke Meer Hue,
Us Ki Zulfon Ke Sab Aseer Hue.

Hum Hue,Tum Hue

Bahut Mushkil Hai

Bahut Mushkil Hai Duniyaa Ka Sanvaranaa,
Teri Zulfon Kaa Pech-O-Kham Nahin Hai.

Bahut Mushkil Hai

Sair-E-Bahaar-O-Baagh

Sair-E-Bahaar-O-Baagh Se Ham Ko Muaaf Keejiye,
Us Ke Khayaal-E-Zulf Se ‘Dard’ Kise Faraagh Hai.

Sair-E-Bahaar-O-Baagh