Shayari About Ghar - Page 2 - Hindi Shayari

Usi Ne Mujh Pe Uthaye Hain

Usi Ne Mujh Pe Uthaye Hain Sang Jis Ke Liye,
Main Paash-Paash Huaa Ghar Nigaar-Khaana Hua.

Usi Ne Mujh Pe Uthaye Hain

Apna Ghar Kya Ghar Tha

Apna Ghar Kya Ghar Tha Lekin Haan Ek Ghar Ka Naam Sa Tha,
Teri Tawajjoh Se Ab Wo Bhi, Shaamil Hai Weeraanon Mein.

Apna Ghar Kya Ghar Tha

Darta Hoon Dekh Kar

Darta Hoon Dekh Kar Dil-E-Be-Aarzoo Ko Main,
Sunsaan Ghar Yeh Kyun Na Ho Mehmaan To Gaya.

Darta Hoon Dekh Kar

Bhoole Se Bhi Pahunche

Bhoole Se Bhi Pahunche Na Tere Ghar Mein Kabhi Ham,
Barson Yun Hi Khaar-E-Sar-E-Deewaar Se Uljhe.

Bhoole Se Bhi Pahunche

Gharon Pe Naam The

Gharon Pe Naam The Naamon Ke Saath Ohade The,
Bahut Talaash Kiyaa Koi Aadami Na Milaa,

Gharon Pe Naam The

Ghar Nayaa Bartan Bade

Ghar Nayaa Bartan Bade Kapde Naye,
In Puraane Kaaghazaon Ka Kya Karen.

Ghar Nayaa Bartan Bade

Log Toot Jaate Hain

Log Toot Jaate Hain Ek Ghar Ke Banaane Mein,
Tum Taras Nahin Khaate Bastiyaan Jalaane Mein.

Log Toot Jaate Hain

Kal Jaane Kaise Honge

Kal Jaane Kaise Honge Kahaan Honge Ghar Ke Log,
Aankhon Men Ek Baar Bharaa Ghar Samet Loon.

Kal Jaane Kaise Honge

Divaar Khastaa Haal Hai

Divaar Khastaa Haal Hai Aur Dar Udaas Hai,
Jab Se Koi Gayaa Hai Meraa Ghar Udaas Hai ..

Divaar Khastaa Haal Hai

Yaad Nahin Kyaa Kya

Yaad Nahin Kyaa Kya Dekha Tha Saare Manzar Bhool Gaye,
Us Ki Galiyon Se Jab Laute Apnaa Bhi Ghar Bhool Gaye.

Yaad Nahin Kyaa Kya

Khoob Gaye Pardes Ki Apne

Khoob Gaye Pardes Ki Apne Deevaar-O-Dar Bhool Gaye, Sheesh-Mahal Ne Aisaa Gheraa Mitti Ke Ghar Bhool Gaye.

Khoob Gaye Pardes Ki Apne

Nazar Mein Khatke Hai

Nazar Mein Khatke Hai Bin Tere Ghar Ki Aabadi,
Hamesha Rote Hain Ham Dekh Ke Dar-O-Divaar ,

Nazar Mein Khatke Hai

Tum Maah-E-Chaar Daaham

Tum Maah-E-Shab-E-Chaar Daaham The Mere Ghar Ke,
Phir Kyoon Na Rahaa Ghar Kaa Vo Naqshaa Koi Din Aur.

Tum Maah-E-Chaar Daaham

Be Dar-O-Divaar Kaa

Be-Dar-O-Divaar Kaa Ik Ghar Banaayaa Chaahiye,
Koi Ham-Sayaa Na Ho Aur Paas-Baan Koi Na Ho.

Be Dar-O-Divaar Kaa

Ug Rahaa Hai Dar-O-Divaar

Ug Rahaa Hai Dar-O-Divaar Pe Sabzaa “Ghalib” Ham Bayaabaan Mein Hain Aur Ghar Mein Bahaar Aai Hai

Ug Rahaa Hai Dar-O-Divaar

Wo Aaye Ghar Mein

Wo Aaye Ghar Mein Hamaare Khudaa Ki Qudrat Hai,
Kabhi Ham Un Ko Kabhi Apne Ghar Ko Dekhte Hain.

Wo Aaye Ghar Mein

Ghar Aap Hi Jagamagaa

Ghar Aap Hi Jagamagaa Uthegaa Dahaliz Pe Ik Qadam Bahut Hai ..

Ghar Aap Hi Jagamagaa

Nayi Nayi Aankhein Ho To

Nayi Nayi Aankhein Ho To Har Manzar Acha Lagta Hai,
Kuch Din Shehar Mein Ghume Lekin, Ab Ghar Acha Lagta Hai,

Milne-Julnewalon Mein To Saare Apne Jaise Hain,
Jis-se Ab Tak Mile Nahi Voh Aksar Acha Lagta Hai,

Humne Bhi So Kar Dekha Hai Naye-Purane Shehro Mein,
Jaisa Bhi Hai Apne Ghar Ka Bistar Acha Lagta Ha.

Nayi Nayi Aankhein Ho To

Raaste Mein Mil Gayaa

Raaste Mein Mil Gayaa To Shareek-E-Safar Na Jaan,
Jo Chhaaon Meharbaan Ho Use Apnaa Ghar Na Jaan.

Raaste Mein Mil Gayaa

Ek Hangaame Pe Mauqoof

Ek Hangaame Pe Mauqoof Hai Ghar Ki Raunaq Nauha-E-Gham Hi Sahi Naghma-E-Shaadi Na Sahi ..

Ek Hangaame Pe Mauqoof