Dua Shayari - Page 4 - Hindi Shayari

Zamane Se Suna Tha Ki

Zamane se suna tha ki Mohbbat Haar jaati hai,
Jo Chahat ek Tarfa ho Wo Chahat Har jaati hai,
Kahi Dua ka ek Lafaz Asar kar jaata hai,
or Kahi Barso ki Ibadat Haar jaati hai.

zamane-se-suna-tha-ki-mohbbat-haar-jaati-hai

Dil Main Basa Rakha Hai

DiL Main Basa Rakha Hai Teri Wafaon Ko,
Aankhon Me Chupa Rakha Hai Teri Adaon Ko,
Iss Jahan Main Kya Doon Tumhe Batao,
Ho Sake To Tohfa Samajh Lena Meri Duaon Ko.

dil-main-basa-rakha-hai-teri-wafaon-ko

Khawab Sach Ho Toh

Khawab Sach Ho Toh Tabeer Bhi Mil Jaati Hai,
Yaad Bhi Aksar ek Tasveer Mein Badal Jaati Hai,
Kuch Maango Agar To Maango Sache Dil Se,
Ek Dua Se Aksar Takdeer Badal Jaati Hai.

khawab-sach-ho-toh-tabeer-bhi-mil-jaati-hai

Jo Aapke Sapne Ho Wo

Jo aapke sapne ho wo haqiqat ban jaye,
Jis rah par kadam rakho samne manjil mil jaye,
Kuchh nahi mere pas bas duwaye hai,
Khuda kare in duwayo ko barakat mil jaye.

jo-aapke-sapne-ho-wo-haqiqat-ban-jaye

Koi Achhi Si Saza Do Mujhe

Koi Achhi Si Saza Do Mujhe,
Chalo Aisa Karo Rula Do Mujhe,
Dil Dukhaya Ho To Maut Aa Jaye Mujhe,
Dil Ki Gehrayi Se Ye Dua Do Mujhe.

koi-achhi-se-saza-do-mujhe

Har Tamana Apki Yun

Har tamana apki yun puri ho jaye,
Sapno ki 1 duniya hakikat ban jaye,
Ho apka mukadar kuch is kadar roshan,
ki hath khulne se pehle Apki har dua kubul ho jaye.

har-tamano-apki-yun-puri-ho-jaye

Yahi Dua Karta Hu Khuda Se

Yahi dua karta hu khuda se,
Aapki zindigi mein koi Gam na ho,
Janamdin par mile hazaro khusiyan,
Chahe unme shaamil hum na ho.

yahi-dua-karta-hu-khuda-se

Hamari Zindagi Hai

Hamari zindgi hai Dosto ki amanat,
rakhna mere khuda sada unko salamat,
dena unhe khushiya saare jahan ki,
ban jaye vo tareef har 1 zuban ki.

hamari-zindgi-hai-dosto-ki-amanat

Kisi Ke Haq Me Hi

Kisi ke Haq me hi sahi kahir wo dua to kare,
Wo keh nahi sakti khair meri Suna to Kare
Main Laut jaunga apni Udhas Duniya mein, khair,
Wo shaqs mujh se Bichadne ka ek dafa phaisla to kare.

kisi-ke-haq-me-hi-sahi-kahir-wo-dua-to-kare

Har Phul Muskan De Apko

Har phul muskan de apko,
Har subah apko salam de,
Hum dua karte he k apka 1 ansu bhi agar gire.
To khuda apko dugni muskan de.

har-phul-muskan-de-apko-har-subah-apko-salam-de

Pal Pal Intezaar Kiya

pal pal intezaar kiya uss pal ke liye,
woh pal aaya bhi to ek pal ke liye,
Ab har pal dua hai uss pal ke liye,
Kash phir Aa jaaye wo ek pal ke liye.

pal-pal-intezaar-kiya-uss-pal-ke-liye

Dhoop Chamkti Hai

Dhoop chamakti hai barsat k baad,
Kuch muskura lena meri yaad k baad,
Koi shikwa na rahe aaj k baad,
Allah kush rakhe aap ko meri dua k baad.

dhoop-chamakti-hai-barsat-k-baad

Har Roz Tujh Se

har roz tujh se milne ki dua karenge,
teri aarzu mein hasti fana karenge,
tu chahe daaman bachale humse,
hum marte dam tak tujh se wafa karenge.

Har Roz Tujh Se

Guzre Dino Ka

Guzre Dino Ka Khayal Rakhna,
Wafa Ki Matti Sambhal Rakhna,
Aap Bhulado Mujhko To Koi Baat Nahi
Mera To Haq Hy Apko Her Dua Me Yaad Rakhna.

guzre-dino-ka-khayal-rakhna

Yaadon Ki Raho Main

Yaadon Ki Raho Main Kabhi Akelapan Na Mile,
Aai Dost Zindagi Main Tumhe Kabhi Gum Na Mile,
Dua Karte Hai Hum Khuda Se,
Tuhme Jo Bhi Dost Mile Hum Se Kam Na Mile.

yaadon-ki-raho-main-kabhi-akelepan-na-mile

Khuda Se Humne

Khuda se humne ek dua maangi,
dua me apni mout mangi,
Khuda ne kaha mout to tumhe mein de du,
par uska kya karu jisne teri lambi umar mangi.

Suprabhat Ka Ujhala

Suprabhat Ka Ujhala Sada Aapke Sath Ho,
Har Din Ka ek-ek Pal Aap Ke Liye Kuch Khas Ho,
Dua Hamesha Nikalti Hai Dil Se Aap Ke Liye,
Dher Khushiyon Ka Khazana Aapke Paas Ho.

suprabhat-ke-ujhala-sada-aapke-sath-ho

Apne Sare Gham Mujhe Dedo

Apne sare gham mujhe dedo,
Mein sari khushiyan tujhe deta hoon,
Jo sochi thi kabhi khud ke liye,
Wo sari duaein tujhe deta hoon.

Ye Dua Hai Aapki

ye dua hai aapki zindagi sawar jaaye,
har nazar mein bas pyar nazar aaye,
jiski talash mein niklo tum,
Khuda kare wo khud tumhari talash mein aaye.

ye-dua-hai-aapki-zindgai-sawar-jaaye

Dua Me Labo Par

dua me labo par mera naam rakhna,
nlghaho me wohi apna andaj rakhna,
dena chahte ho khusuiya HUME,
khush rahna apna “KHAYAL RAKHNA.

dua-me-labo-par-mere-naam-rakhna