Dosti Shayari - Page 4 - Hindi Shayari

Aye Khuda Due Ye Meri

Aye khuda dua ye meri khali na jaye,
Ke mere dost ki palkon mein kabhi aansu na aaye,
Aansu nikle to khushi ke nikle,
Gham ke aansu mere hisse mein aa jaye.

Aye Khuda Due Ye Meri

Mousam Chahe Badalte Rahe

Mousam chahe badalte rahe,
par yaadon ke phool jaroor khilenge,
waqt badlega rishte badlenge,
par hum aapke dost the hai aur hamesha rahenge.

Mousam Chahe Badalte Rahe

Har Kisi Ke Kismat Me

हर किसी कै किसमत मै ऐसा लिखा नही हौता,
हर मंजिल मै तैरै जैसा दौस्त का पाता नही मिलता,
मैरी तकादीर हौगी कुछ खास,
वरना तैरै जैसा यार मुझै कहा मिलता.

Har Kisi Ke Kismat Me

Fasle Mita Kar Aapas Mein

Fasle mita kar aapas mein pyar rakhna,
Dosti ka ye rishta hamesha yunhi barkarar rakhna,
Bichhad jayein jo kabhi aap se hum,
Aankhon mein hamesha hamara intejar rakhna.

Fasle Mita Kar Aapas Mein

Mehak Dosti Ki Kam Nahi Hoti

Mehak Dosti ki Kam nahi hoti,
Dosti se zindagi khatam nahi hoti,
Saath agar zindagi mein ho aap jaise dost ka,
Zindagi jannat se kam nahi hoti.

Mehak Dosti Ki Kam Nahi Hoti

Dosti Achi Ho To Rang Lati Hai

दोस्ती अच्छी हो तो रंग़ लाती है,
दोस्ती गहरी हो तो सबको भाती है,
दोस्ती नादान हो तो टूट जाती है,
पर अगर दोस्ती अपने जैसी हो,
तो इतिहास बनाती है

Dosti Achi Ho To Rang Lati Hai

Hakeekat Samjho Ya Afsana

Hakeekat samjho ya afsana,
Begana kaho ya deewana,
Suno mere dil ka fasana,
Teri dosti hai mere jeene ka bahana.

Hakeekat Samjho Ya Afsana

Kinaro Par Sagar Ke

Kinaro par sagar ke khazane nahi aate,
Phir jivan me dost purane nahi aate,
Jee lo in palon ko has ke janaab,
Fir laut ke dosti ke zamane nahi aate.

Kinaro Par Sagar Ke

Gunah Kar Ke Saja Se

गुनाह करके सजा से डरते है,
ज़हर पी के दवा से डरते है,
दुश्मनो के सितम का खौफ नहीं हमे,
हम तो दोस्तों के खफा होने से डरते है.

Gunah Kar Ke Saja Se

Dosti Ki Rahon Mein

Dosti ki rahon mein kabhi akelapan na mile,
Aye dost zindagi mein tumhe kabhi gham na mile,
Dua karte hain hum khuda se,
Tuhme jo bhi dost mile hum se kam na mile.

Dosti Ki Rahon Mein

Sachi Dosti Bezubaan

Sachi Dosti Bezubaan Hoti Hai,
Ye to Aankhon Se Bayan Hoti Hai,
Dosti Me Dard Mile to Kya Hua,
Dard Me Hi To Apne Aur Parayo Ki Pehchan Hoti Hai.

Sachi Dosti Bezubaan

Aapki Dosti Hamari

Aapki dosti hamari, suron ka saz hai,
aap jaise dost par, hame naz hai,
chahe kuch ho jaye zindagi mein,
dosti vaise hi rahegi, jaise aaj hai.

Aapki Dosti Hamari

Teri Dosti Ne Bahut Kuchh

Teri dosti ne bahut kuchh sikha diya,
Meri khamosh duniya ko jaise hansa diya,
Karzdaar hain hum khuda ke,
Jisne aap jaise dost se mila diya.

Teri Dosti Ne Bahut Kuchh

Pyar Ka Haq Ada

Pyar ka haq ada kiya karte hai,
Dosti mein jaan fida kiya karte hai,
Phulo se bhi jakhm na aaye aapko,
Khuda se bas yahi dua karte hai.

Pyar Ka Haq Ada

Kuch Rishte Anjane

Kuch Riste Anjane Me Ban Jate Hai,
Pehele Dilse Fir Zindegi Se Jud Jate Hai,
Kehte Hai Us Pal Ko DOSTI,
Jisme Anjane, Na Jane Kab Apne Ban Jate Hai.

Aapki Aankhon Mein Milegi

Aapki aankhon mein milegi hamein panah,
Chahe samjho dil lagi ya samjho gunah,
Bhaley hi hamein koi deewana qarar de,
Hum to ho gaye aapki dosti mein fanaa.

Aapki Aankhon Mein Milegi Hamein

Khushi Ke Ye Pal Aap

Khushi ke ye pal aap yu hi sambhale rakhna,
Ye kaliyon se pyari muskan yu hi khilaye rakhna,
Pyar ki yeh mehfil yu hi sajaye rakhna,
Aur dosti ki ye khushboo yu hi mehkaye rakhna.

Khushi Ke Ye Pal Aap

Zindagi Nahin Humein

Zindagi nahin humein doston se pyaari,
Doston pe haazir hai jaan hamaari,
Aankhon mein hamaari aansoon hai toh kya,
Jaan se bhi pyaari hai muskaan tumhaari.

Zindagi Nahin Humein

Din Beet Jaate Hain

Din beet jaate hain suhani yaadein bankar,
Baatein reh jaati hain kahani bankar,
Par dost to hamesha kareeb rahenge,
Kabhi muskaan to aankhon ka pani bankar.

Din Beet Jaate Hain

Khamoshiyon Mein Ek Ada

Khamoshiyon mein ek ada itni pyari lagi,
Apki dosti hum sabse nyari lagi,
Ye na tute kabhi yahi dua hai hamari,
Kyoki duniya mein ek yahi cheej hume hamari lagi.

Khamoshiyon Mein Ek Ada