Dosti Shayari - Page 3 - Hindi Shayari

Hum Apni Dosti Ko

Hum apni dosti ko yaadon mein sajayenge,
Door rehkar bhi band aankhon mein nazar ayenge,
Hum koi waqt nahi jo beet jaayenge,
Jab yaad karoge tab chale aayenge.

Hum Apni Dosti Ko

Dosti To Sirf Ittefaq Hai

Dosti to sirf ittefaq hai,
Yeh to dilon ki mulakaat hai,
Dosti nahin dekhti yeh din hai ke raat hai,
Isme to sirf wafadaari aur jazbaat hai.

Dosti To Sirf Ittefaq Hai

Sabse Alag Sabse Nayare Ho Aap

सबसे अलग सबसे न्यारे हो आप,
तारीफ कभी पुरी ना हो इतने प्यारे हो आप,
आज पता चला कि जमाना क्यों जलता है हमसे,
क्यों कि दोस्त तो आखिर हमारे हो आप.

Sabse Alag Sabse Nayare Ho Aap

Har Raat Chand Ka

Har raat chand ka shingar nahi milta,
Har bagh ko phool ka dular nahi milta,
Hamnein bhi duniya dekhi hai,
Har insan ko aap jaisa yaar nahi milta.

Har Raat Chand Ka

Hum Woh Nahi Jo

Hum woh nahi jo tumhe gum me chod denge,
hum woh nahi jo tujhse naata tod denge,
hum to tere wo dost hai jo saanse,
ruk jaye to apni saanse jodh denge.

Hum Woh Nahi Jo

Kaun Kehta Hai Ki

कौन कहता है कि दोस्ती बराबरी में होती है,
सच तो ये है दोस्ती में सब बराबर होते है!

Kaun Kehta Hai Ki

Ek Phool Bhi Aksar

Ek phool bhi aksar baag saja deta hai,
Ek hi sitara sansar chamka deta hai,
Jahan duniya bhar ke rishte bhi kaam nahi aate,
Wahin ek dost zindagi bana deta hai.

Ek Phool Bhi Aksar

Khushi Itni Ho Ki

Khushi itni ho ki dikha sako,
Gam bas itna ho ki tum chupa sako,
Zindgi me kam se kam 1 dost aisa rakhna,
Jiske liye tum gusse me bhi muskura sako.

Khushi Itni Ho Ki

Zikar Hua Jab Khuda Ki

Zikar Hua Jab Khuda Ki Rehmaton Ka,
Humne Khud Ko Khushnaseeb Paya,
Tamanna Thi Ek Pyaare Se Dost Ki,
Khuda Khud Dost Bankar Chala Aaya.

Zikar Hua Jab Khuda Ki

Ek Dost Ka Wada Hai

Ek dost ka wada hai marte dum tak saath nibhayenge,
Maut aaye to tumse pehle hum jayenge,
Tumko na bhool payenge,
Isi liye tumko bhi saath le jayenge.

Ek Dost Ka Wada Hai

Zindagi Bhi Hum Apni

Zindagi bhi hum apni khushi se luta de,
agar khuda hamari umar apko laga de,
aur khuda se chahte kuch bhi nahi bas,
hr janam me apko hamara dost bana de.

Zindagi Bhi Hum Apni

Chote Se Dil Me Gum Bahut Hai

छोटे से दिल में गम बहुत है,
जिन्दगी में मिले जख्म बहुत हैं,
मार ही डालती कब की ये दुनियाँ हमें,
कम्बखत दोस्तों की दुआओं में दम बहुत है.

Chote Se Dil Me Gum Bahut Hai

Suna Hai Asar Hota Hai

Suna hai asar hota hai baton mein,
Tum bhi bhool jaoge do chaar mulakaton mein,
Hamse rooth kar jaoge kahan,
Tumari to dosti ki lakeer hai in hathon mein.

Suna Hai Asar Hota Hai

Tujh Pe Qurbaan

Tujh pe Qurbaan meri Yaari hai,
Hass ke mar jaaun iss ki Tayari hai,
Silsila na khatam ho apne Pyaar ka,
Kyunki humne tumhe yaad kiya ab tumhari baari hai.

Tujh Pe Qurbaan

Aap Ki Yaad Aayi

Aap ki yaad aayi, aankhein khuli,
Warna jagne wale hum na the,
Dosti se jinda hain aap ki,
Warna jinda rehne wale hum na the.

Aap Ki Yaad Aayi

Humne Jab Kabhi Khushi

Humne Jab Kabhi Khushi Mehsoos ki,
Har Kadam Pe aapki Kami Mehsoos ki,

Door Rehkar bhi Aapki Dosti Kam na hui,
Ye baat humne Dil se MehSUS KI.

Humne Jab Kabhi Khushi

Mitha Intezar Aur Intezar

Mitha Intezar Aur Intezar Se Bhi Yaar Mitha,
Mitha Yaar Aur Yaar Se Bhi Pyar Mitha,
Mitha Pyar Aur Pyar Se Mithi Apni Yaari.

Mitha Intezar Aur Intezar

Har Dua Kubul Nahi Hoti

Har dua kubul nahi hoti,
Har aarzu poori nahi hoti,
Jinke dil mein aap jaise dost rehte hon,
Unke liye dhadkan bhi zaruri nahi hoti.

Har Dua Kubul Nahi Hoti

Agar Hum Yaad Nahi Karte

Agar hum yaad nahi karte to bhulte bhi nahi,
hum hasate nahi to rulate bhi nahi,
hum roj dost banate nahi par,
jo bane hai unhe gavate bhi nahi.

Agar Hum Yaad Nahi Karte

Pyaari Subah Teri

Pyaari subah teri aur shaam meri ho,
Din teri aur raat meri ho,
Hasi teri aur udaasi meri ho,
Jab maut aaye to Yaar sirf,
Kabar teri aur usmein laash meri ho.

Pyaari Subah Teri