Shayari About Chand - Hindi Shayari

Ae Chand Tu Bhool Jayega

Ae Chand Tu Bhool Jayega Apne Aap Ko,
Jab Sunay Ga Dastaan Mere Pyaar Ki,
Kion Karta Hai Tu Ghuroor Apne Aap Pe Itna,
Tu To Sirf “PARCHAI” Hai Mere “YAAR” Ki.

Ae Chand Tu Bhool Jayega

Kyu Hame Kisi ki Talash

Kyu Hame Kisi ki Talash Hoti Hai,
Kyu Dil Ko Kisiki Aas Hoti Hai,
Chand Ko Dekho Vo B Tanha Hai,
Fir B Uski Chandni Se Roshan Raat Hoti Hai.

Kyu Hame Kisi ki Talash

Dil Ke Angan Se Chand

Dil Ke Angan Se Chand Ka Didar Ho Gaya,
Main Deewana Ho Gaya Chand Badlon Mein Kho Gaya,
Maine Badal Hatne Ka Inteezar Kiya,
Tab Tak Chand Kisi Aur Ka Ho Gaya.

Dil Ke Angan Se Chand

Chand Utra Tha

Chand utra tha humare aangan mein,
Yeh Sitaaron ko gawara na hua,
Hum bhi Sitaaron se kaise gila karte,
Jab Chand hi hamara na hua .

Chand Utra Tha

Isse Pehle Ki Chand

Isse Pehle Ki Chand Raat Ki Shaam hojaaye,
Mubarakbaad Ka Silsilaaam Hojaaye,
Bheed Me Shaamil Humaranaamho Jaaye,
Kyun Na Usse Pehle Eksalaam Ho Jaaye.
Chand Mubarak.

Isse Pehle Ki Chand

Wo Chand Mujh Pe Kiya

Wo Chand Mujh Pe Kiya Ajab Ehsaan Kar Giya,
Zalim Mujhay To Sahib-E-Emaan Kar Giya,
Wo Zehn Main Samaya To Kuch Istarah Laga,
Jaisay Main Hifz Raat Main Quran Kar Giya.

Wo Chand Mujh Pe Kiya

Is Pyar Ka Andaz

Is Pyar Ka Andaz Kuch Aisa Hai,
Kya Bataye K Yeh Andaz Kaisa Hai,
Kaun Kehta Hai K Tum Chand Jaise Ho,
Sach To Yeh Hai K Chand Tumhare Jaisa Hai.

Is Pyar Ka Andaz

Kis Qadar Chand Pe Badal

Kis qadar chand pe badal ka dekho saya hai,
Meri dewaangi se chand bhi sharmaya hai,
Kitna bechen sa chakoor nazaar aya hai,
Chakoor dekho kesa chand pe bharmaya hai.

Kis Qadar Chand Pe Badal

Gul Mohar Ki Kataar Jaisi Ho

Gul mohar ki kataar jaisi ho,
Wadiyon main bahaar jaisi ho,
Paayalon ki chum chum chum si,
Chand meri yaar kaisi ho?

Gul Mohar Ki Kataar Jaisi Ho

Maine Chand Se Kaha

Maine chand se kaha, Mere chand par apni nazar mat dalo,
Kya karu kasoor mera nahi,
Har kisi ko apne chand par gumaan hota hai,
Kya kahu kasoor tera bhi nahi,
Aisi hi chandani rato me kabhi tu bhi baimaan hota hai

Maine Chand Se Kaha

Aisa Lagta Hai Zindagi

Aisa lagta hai zindagi,
tum ho Ajnabee, kaise ajnabee tum ho?
Main zameen par ghana andhera hoon,
Aasmaanon-ki chandni tum ho.

Aisa Lagta Hai Zindagi

Chaand Se Puchha Humne

Chaand Se Puchha Humne,
Kya Raaz Hai Teri Chandni Ka,
Ishara Kiya Chand Ne Aapki Orr Aur Kaha,
Puchho Unse Jinke Noor Se Main Chamakta Hoon.

Chaand Se Puchha Humne

Chand Se Pyari Chandini

Chand Se Pyari Chandini,
Chandini Se Pyari Raat,
Raat Se Pyari Zindagee,
Zindagee Se Pyare Aap.

Chand Se Pyari Chandini

Mohabbat Ke Chaand Ko

Mohabbat ke chaand ko apni panah mein rehne do,
labon ko na kholo aankhon ko kuch kehne do,
dil pe haath rakho aur kuch dair rehne do,
mujhe mehsoos karo aur apne paas hi rehne do.

Mohabbat Ke Chaand Ko

Wo Chand Hai Magar

Wo chand hai magar aap se pyara to nahi,
Parvane ka shama ke bin guzara to nahi,
Mere dil ne suni hai ek mithi se awaz,
Kya aapne mujhe pukara toh nahi.

Wo Chand Hai Magar