Bewafa Shayari - Page 5 - Hindi Shayari

Mohabbat Ko Meri

Mohabbat Ko Meri Thukraya Hai Usne,
Bewafa Bankar RuLaya He Usne,
Humne To Use Hamesha Wafa Di Bewafai Kya hai,
Mohabat Kar Ke Samjaya Hai Usne.

Gam Iss Baat Ka Nahi

गम इस बात का नही कि तुम बेवफा निकली,
मगर अफ़सोस ये है कि,
वो सब लोग सच निकले,
जिनसे मैं तेरे लिए लड़ा करता था!

Dard-e-dil Ki Aah

dard-e-dil ki aah tum na samjh sakoge
har dard ka mataam sar-e-aam nahi hota

Zindagi Me Tujhe

Zindagi me tujhe chain Na aayega,
Tanhai ka andhera tujhe har pal satayega,
Jab kabhi tujhse v karega koi bewafa,
Tab tujhe mera pyar yaad ayega.

Meri Wafah Ki Kadar Na Kar

मेरी वफ़ा की कदर ना की,
अपनी पसंद पे तो ऐतबार किया होता,
सुना है वो उसकी भी ना हुई,
मुझे छोड दिया था उसे तो अपना लिया होता|

Kahan Se Laun Hunar

Kahan Se Laun Hunar Use Manane Ki,
Koi Jawab Nahi Tha Uske Rooth Jane Ka,
Mohabbat Mein Saza Mujhe Hi Milni Thi,
Kyuki Jurm Maine Kiya Us se Dil Lagane Ka.

Na Wo Sapna Dekho

Na wo sapna dekho jo tut jaye,
Na wo hath thamo jo chhut chhut jaye,
Mat aane do kisiko itna karib ke,
Uske dur jane se insan khud se ruth jaye.

Puchte Hain Sab

पूछते है सब जब बेवफा था तो उसे दिल दिया ही क्यों,

किस किस को बतलाये,

उस शख्स में बात ही कुछ ऐसी थी
दिल नहीं देते तो जान चली जाती.

Mujhe Usse Koi Shikayat Hi Nahi

mujhe Usse Koi Shikayat Hi Nahi,
Shayad Hamari Kismat Me Chahat Hi Nahi.
Meri Taqdir Ko Likhkar Khuda Bhi Mukar Gya,
Puchha To Bola Ye Meri Likhawat Hi Nahi.

Chahat Hai Kisi Ki

Chahat hai kisi ki chahat pane ki,
Chahat hai chahat ko azmane ki,
Woh chahe hame chahe na chane par chahat hai,
Unki chahat me mit jane ki.

Chand Tare Zameen Par

Chand tare zameen par lane ki zid thi,
Hamein unko apna banane ki zid thi,
Achcha hua woh pehle hi ho gayi bewafa,
Warna unhe pane ko zamana jalane ki zid thi.

Har Shama Bujhi Rafta Rafta

Har shama bujhi rafta rafta,
har khawab luta dheere dheere,

sheesha na sahi pathar hi sahi,
dil toot gaya dheere dheere.

Unke Kehne Par

Unke Kehne Par Duniya Chhod Aaye,
Sabhi Risto Se Muh Mod Aaye,
Humse Na Mangna Hisab Bewafai Ka,
Unki Chahat Me Kitno Ke Dil Tod Aaye

Hum To Tere Dil Ki Mehfil

Hum to tere dil ki mehfil sajane aye the,
Teri kasam tujhe apna banane aye the.
Kis baat ki saza di tune hum ko,
Bewafa hum to tere dard ko apnane aye the.

Hume Phoolon Se Kya Gila

Hume Phoolon Se Kya Gila,
Hmne Toh Khud Kaantoh Se Mohabbat Ki Hai,

Hme Kisi Ki Bewafai Se Kya Laina Deina
Hmne Toh Khud Bewafaon Se Mohabbat Ki Hai

Zindagi Se Bas

Zindagi se bas yehi gila hain,
Khushi ke baadh, kyu gham mila hain,
Humne to unse wafaa hi ki thi,
Par nahi jaante the ki wafa kaa bewafaai hi silaa hai

Kya Ajeeb Si Zid Hai

क्या अजीब सी ज़िद है..
हम दोनों की,
तेरी मर्ज़ी हमसे जुदा होने की..
और मेरी तेरे पीछे तबाह होने की..

Har Gum Ki Dawaa Nahi Hoti

Har gum ki dawaa nahi hoti,
kya hota jo dua nahi hoti,
Be-khauff log tod dete hai dil,ye soch kar
ki is jurm ki koi sazza nahi hoti….

Bewafa Dil Ki Rahon Me

Bewafa dil ki rahon me na bhatke hote,
sisse se najuk dil ko sine me chhupa ke rkhte,
agr hum karte unse bewafai,
to aaj iss kabr me na lete hote.

Lage Hai Ilzam Dil Pe

Lage hai ilzaam dil pe jo mujh ko rulate hai,
Kisi ki berukhi aur kisi aur ko satate he,
Dil tod ke mera wo badi asani se keh gaye alvida,
Lekin halaat mujhe bewafa thehraate hai.