Shayari About Being Lonely - Page 4 - Hindi Shayari

Aaj Kuchh Kami Hai

Aaj kuchh kami hai tere bagair,
Na rang na roshni hai tere bagair,
Waqt apni raftaar se chal raha hai,
Bas dhadkan meri thami hai tere bagair

Ab Hame Bhi Aadat Ho Gayi Hai

Ab hame bhi aadat ho gayi hai tere bin jeene ki,
teri nafrat ne aisa bana diya hai ki ab to dhadkan bhi chalti hai bina saans ki

Koi Toh Batata Ki

Koi Toh Batata Ki Kis Taraf Gaye Budhe,
Unka Pata Milega Toh Tumhe Bataunga,
Thak Toh Gaya Hu Abhi Hai Josho Junun Baaki,
Shuruat Kar Do Jamana Sar Pe Uthaunga,
Mahlon Ke Ird Gird Hain Kaanton Ki Jhadiyan,
Pathar Mein Phool Khoon E Jigar Se Khilaunga,
Baithoge Mere Sath Kabhi Chandani Mein Jab Tum,
Tanhaiyon Ki Dastan Tab Bataunga

Phir Aaj Wahi Sham Hai

Phir Aaj Wahi Sham Hai Saath Mein Hai Meri Tanhai,
Zindagi Kuch Thami Huyi Si Lagti Hai Kaisi Hai Yeh Khudaai,
Koshish Karta Hun Kisi Tarah Byaan Kar Sakun Apne Jazbaton Ko,
Sayad Isiliye Ban Jaati Hai Aksar Anjaane Mein Koi Rubai

Na Jane Us Ke Dil Main

Na jane us ke dil main kitni mehfilen abad hon,
Jo akela betha ho use tanhaa nahi kehte

Mana Ki Aaj Hum

Mana Ki Aaj Hum Akele Reh Gaye,
Judai Ke Aasu Akho se Beh Gaye,
Rote Hue Ko Kon Chup Karayega,
Jo Chup Karate The Wahi Rone Ko Keh Gaye

Dil Ki Tanhai Aur Badhi

Dil Ki Tanhai Aur Badhi,
Mehmano Ke Aa Jane Se,

Ek Tere Aaj Na Aane Se,
Lagta Hai Ghar Tanha Tanha,

Muddat Se Ret Ke Sahra Mein,
Aaya Na Gaya Baadal Koi

Sath Dene Ke Liye

Sath Dene Ke Liye Tanhai Ko Kyu Bulati Ho,
Har Kadam Pe Hi Kyu Tum Mayus Ho Jati Ho,
Abhi To Shuru Huyi Hain Ye Zindgi Aye Dost,
Abhi Se Hi Tum Itna Kyu Bechain Ho Jati Ho

Sanaatton Ko Choom Rahi Hain

Sanaatton ko choom rahi hain awaazen shehnayi ki,
Chupke chupke chaat rahi hai aag mujhe tanhaayi ki

Wo Muskura Rahe Hai

Wo Muskura Rahe Hai Hume Tanha Chod Kar,
Kiye Huye Saare Waado Ko Tod Kar. Unke Siva Kahi Dil Lagta Bhi Nahi,
Ab Kya Karenge Hum Apne Toote Huye Dil Ko Jod Kar

Meri Tanhai Nazar Aati Hai

Har Pal,
Mujhe Tumhari Yaad Aati Hai,

Baarish Ki Har Boond,
Tumhari Yaad Dilaati Hai,

Meri Parchayi Mein,
Tu Nazar Aati Hai,

Jab Bhi Dakhna Chahun Tumhe,
Tum Toh Nahi, Meri Tanhai Nazar Aati Hai

Jo Na Hoti Mohabbat Ye

Jo Na Hoti Mohabbat Ye Aansu Na Hote
Dil Bhi Na Khota Aaj Tanha Na Hote
Deewano Si Apni Ye Haalat Na Hoti
Agar Jahan Mein Apna Koi Aur Bhi Hota

Tanhayi Ke Aatishdaan Mein

Tanhayi Ke Aatishdaan Mein Mein Lakri Ki Tarah Jalta Tha Tere Saath Tere Hamraahi Mere Saath Mera Rasta Tha

Ishq Ka Dusra Naam Hai Intezar

Ishq Kar Deta Hai Bekrar,
Bhar Deta Hai Pathar K Dil Mein Pyaar,
Har 1 Ko Nahi Milti Zindagi Ki Ye Bahar,
Kyunki Ishq Ka Dusra Naam Hai Intezar

Logon Ki Bheed Mein

Logon Ki Bheed Mein Toh Maalun Nahi Hota,
Magar Tanhai Mujhe Bahut Sata Jaati Hai,

Aap Toh Aate Nahi Ho Bulaane Par Bhi,
Aapki Yaad Na Jaane Kyu Chali Aati Hai

Pal Pal Tanhai Me

Pal Pal Tanhai Me Tadapta Raha
Teri Yaadon Ke Tufano Se Ladta Raha
Koi Puchta To Kehta Theek Hu Main
Kaun Jaane Kaise Mar-Mar Kar Jeeta Raha Main

Main Ek Khilona Hu

Main ek khilona hu..
aur wo uss bachhe ki tarah hai jisse mujhse pyaar to hai lekin sirf khelne ki hadd tak…

Kaise Byaan Karu

Kaise Byaan Karu ALfaz Nahi Hai,
Dard Ka Mere Tujhe Ehsaas Nahi Hai,
Puchhte Ho Mujhse Kya Dard Hai.?
Mujhe Dard Ye Hai Ke Tu Mere Pass Nahi Hai

Kaif Mein Duba Hua Hoon

Kaif Mein Duba Hua Hoon Aalam E Tanhayi Hai,
Phir Teri Yaad Dabe Paanv Chali Aayi Hai,

Shab E Taarik Pe Chhayi Huyi Ranayi Hai,
Yeh Teri Zulf Ke Saaye Hain Ke Parchhayi Hai,

Tere Deevane Ko Itna Bhi Ab Hosh Nahi,
Yeh Tera Aaghosh Hai Ya Ghausha E Tanhayi Hai

Utray Jo Zindagi Teri

Utray Jo Zindagi Teri Gehraiyon Mai Hum
Mehfil Mai Reh Ke Bhi Rahe Tanhaiyon Mai Hum
Deewangi Nahi To Or Kya Kahein Isse ?
Insaan Dhoundtay Rahay Parchaiyon Mai Hum