Shayari About Barish - Hindi Shayari

Kaisi Beeti Raat

Kaisi Beeti Raat Kissi Se Mat Kehna
Sapno Wali Baat Kissi Se Mat Kehna

Kaisay Uthay Badaal Or Kahan Takray
Kaisi Hui Barsaat Kissi Se Mat Kehna

Teri Qurbat Bhi Nahin

Teri Qurbat Bhi Nahin Hai Mayassar,
Aur Din Baarishon Ke Aa Rahey Hain

Mai Udas Rasta Hoon

Main Udas Rasta Hoon Shaam Ka ,
Mujhe Aahaton Ki Talash Hai,
Ye Sitaare Sab Hain Bujhe-Bujhe,
Mujhe Jugnuon Ki Talash Hai,
Wo Jo Ek Darya Tha Aag Ka Wo To Raaston Se Guzar Gaya
Mujhe Kab Se Rait Ke Shahar Mein Nai Baarishon Ki Talash

Barsaat Ke Aatey Hi

Barsaat Ke Aatey Hi, Tauba Na Rahi Baaqi
Baadal Jo Nazar Aaye, Badli Meri Neeyat Bhi

Chandni Se Chamakti Is Raat Main

Chandni Se Chamakti Is Raat Main,
Ek Khushboo Si Hai Har Baat Main,
Paas Aake Bhi Kyon Hain Duriya,
Koi Pyasa Hai Kyon Barsat Main.

Narm Aawaz Bhali Baatain

Narm Aawaz Bhali Baatain Mohazzab Lehje
Pahli Baarish Main Hi Ye Rang Utar Jaate Hain

Ye Husan-E-Mausam

Ye husan-e mausam, ye barish, ye hawayein,
Lgta hai mohabbat ne aaj kisi ka sath diya hai

Mere Hisse Ki Zameen Banjar Thi

Mere Hisse Ki Zameen Banjar Thi, Main Waaqif Na Thaa
Be-Sabab Ilzaam Main Detaa Rahaa Barsaat Ko

Kabhi Hum Bheegate Hain

Kabhi hum bheegate hain chahaton ki tej baarish mein…
Kabhi barson nahin milte kisi halki se ek ranjish mein…

Tumhi mein dewtaon ki khushboo nahin thi warna…
Kami koi nahin thi mere andaaz-e-parastish mein…

Ye pehle soch lo phir aur bhi tanha na hojana…
Use chhoone ki khuwahish mein use paane ki koshish mein…

Buhat se zakham hain dil mein magar ek zakham aisa hai..
Jo jal uthta hai raaton mein jo lau deta hai baarish mein..
..

Baarishain Ho Hi Jaati Hain

Baarishain ho hi jaati hain mere shaher mein,
Faraz Kabhi badalon se to kabhi aankho se

In Barishon Se

In barishon se adab-e-mohobbat seekho faraz,
Agar yeh ruth bhi jayein to barasti bohot hain.

Baarish Ki Bondon Mein

Baarish Ki Bondon Mein Jhalakti Hai Us Ki Tasveer
Aaj Phir Bheeg Bethe Usse Pane Ki Chahat Mein

Aaj Halki Halki Baarish Hai

Aaj halki halki baarish hai,
Aaj sard hawa ka raqs bhi hai,

Aaj phool bhi nikhre nikhre hain,
Aaj un main tumhara aks bhi hai

Ek Raat Hui Barsaat Bahut

Ek Raat Hui Barsaat Bahut
Main Roya Saari Raat Bahut
Har Gham Tha Zamaane Ka Lekin
Main Tanha Tha Us Raat Bahut
Phir Aankh Se Ek Saawan Barsa
Jab Sehar Hui To Khyal Aaya
Woh Baadal Kitna Tanha Tha
Jo Barsa Saari Raat Bahut

Barishon Ke Mausam Mein

Barishon ke mausam mein,
Tum ko yaad karney ki,
Aadatien purani hain,
Ab ki bar socha hai,
Aadatien badal dalein,
Phir khayal aaya ke ,
Aadatein badalne se,
Barishein nahin rukti

Itni Shidat Se To

Itni Shidat Se To Barsaat Be Kam Kam Barsay
Jis Tarha Ankh Teri Yaad Main Cham Cham Barsay
Minatien Kon Kare Ek Gharondy Ke Liye
Keh Do Baadal Se Barasta Hai To Jam Jam Barsay

Is Barish Mein Mujhe

Is barish mein mujhe tera pyar bhi
Kachchi mitti ki maanind laga
Ke jaise chand lamhon ki inayaton ke baad
Zameen ko sara saal pyasa rehna hai.

Maine Usse Ek Bar Poocha

Maine Usse Ek Bar Poocha Ke Dhoop Mai Barish Hooti Hai,
Too Woo Hasnee Lagii Aur Hastee Hastee Ronee Lagi,
Aur Dhoop Mai Barish Hoona Lagi

Ishq Wale Ankhon Ki Baat

Ishq wale ankhon ki baat samajh lete hain,
Sapno mein mil jaye to mulaqat samajh lete hain.
Rota to asman bhi hain apne Bichde pyar ke liye,
Par log use barsat samajh lete hain.

Tadap Kar Jalta Hai Yeh Dil

Tadap kar jalta hai yeh dil
Boond ban jaane ko man karta hai
Barish ki boond ki tarah
Tere seene se lipat jaane ko dil karta hai.