Shayari About Allah - Page 4 - Hindi Shayari

Sab Ke Dil Mein Hai

Sab Ke Dil Mein Hal Jagah Teri, Jo Tu Raazi Hua,
Mujh Pe Goya Ik Zamaana Meharbaan Ho Jaaye Ga

Sab Ke Dil Mein Hai

Tha Woh To Rashk-E-Hoor

Tha Woh To Rashk-E-Hoor-E-Bahishti Hameen Mein ‘Meer’,
Samjhe Na Hum To Fahm Ka Apni Qasoor Tha

Tha Woh To Rashk-E-Hoor

Na Tha To Khuda Tha

Na Tha To Khuda Tha, Na Hota To Khuda Hota,
Duboya Mujh Ko Hone Ne, Main Na Hota To Kya Hota

Na Tha To Khuda Tha

Museebat Jis Se Zaail Ho

Museebat Jis Se Zaail Ho, Woh Saamaan Kar Dega,
Na Ghabrana, Khuda Sab Mushkilen Aasaan Kar Dega

Museebat Jis Se Zaail Ho

Kishti E Dil Ki Ilaahi

Kishti E Dil Ki Ilaahi, Bahr E Hasti Mein Ho Khair,
Na Khuda Milte Hain, Lekin Ba-Khuda Milta Nahin

Kishti E Dil Ki Ilaahi

Har Zaara Chamakte Hai

Har Zarra Chamakta Hai Anwaar-E-Ilahi Se,
Har Saans Yeh Kahti Hai, Hum Hain To Khuda Bhi Hai

Har Zaara Chamakte Hai

Khuda Jaane Kahan Hai

Khuda Jaane Kahan Hai Asghar-E-Diwaana Barson Se,
Ki Us Ko Dhoondhte Hain Kaaba-O-But-Khana Barson Se

Khuda Jaane Kahan Hai

Patthar Ke Khuda Vahaan

Patthar Ke Khuda Vahaan Bhi Paaye
Ham Chaand Se Aaj Laut Aaye

Patthar Ke Khuda Vahaan

Dil Ko Kya Ho Gaya

Dil Ko Kya Ho Gaya Khuda Jaane
Kyon Hai Aisaa Udaas Kyaa Jaane
Kah Diyaa Main Ne Haal-E-Dil Apna
Is Ko Tum Jaano Yaa Khuda Jaane

Dil Ko Kya Ho Gaya

Khuda Hum Ko Aisi

Khuda Hum Ko Aisi Khudai Na De
Ki Apne Siwa Kuchh Dikhaai Na De
Khuda Aise Irfaan Kaa Naam Hai
Rahe Saamane Aur Dikhaai Na De

Khuda Hum Ko Aisi