Shayari About Allah - Page 3 - Hindi Shayari

Khuda Naseeb Kare Un Ko

Khuda Naseeb Kare Un Ko Daayami Khushiyaan
‘Adam’ Jo Log Hamein Be-Qaraar Rakhte Hain

Khuda Naseeb Kare Un Ko

Acha Yaqeen Nahin Hai To

Achchaa! Yaqeen Nahin Hai To Kashti Dubo Ke Dekh
Ek Tu Hi Naa-Khuda Nahin Zaalim, Khuda Bhi Hai

Acha Yaqeen Nahin Hai To

Khuda Jaane Kahaan Jaatey

Nikal Kar Dair-O-Ka’baa Se Agar Milta Na Mai-Khana
To Thukaraaye Huey Insaan Khuda Jaane Kahaan Jaatey

Khuda Jaane Kahaan Jaatey

Na Kahin Jahaan Mein Amaan Mili

Na Kahin Jahaan Mein Amaan Mili,
Jo Amaan Mili To Kahaan Mili,
Mere Jurm-E-Khana Kharaab Ko,
Tere Ufw-E-Banda Nawaaz Mein

Na Kahin Jahaan Mein Amaan Mili

Safeena Jab Ke Kinaare

Safeena Jab Ke Kinaare Pe Aa Laga, ‘Ghalib’,
Khuda Se Kya Shikwa-E-Jaur-E-Nakhuda Kahiye

Safeena Jab Ke Kinaare

Raqeebon Ne Rapat Likhwaai Hai

Raqeebon Ne Rapat Likhwaai Hai Ja Ja Ke Thaane Mein,
Ke Akbar Naam Leta Hai Khuda Ka Is Zamaane Mein

Raqeebon Ne Rapat Likhwaai Hai

Laakh Dhoonden

Laakh Dhoonden, Gauhar-E-Maqsood Mil Sakta Nahin,
Hukm Gar Tera Na Ho, Patta Bhi Hil Sakta Nahin

Laakh Dhoonden

Allah Re Kamaal-E-Khudi

Allah Re Kamaal-E-Khudi Ki Wus’aten
Mera Hi Saamna Hai Jidhar Dekhta Hoon Main

Allah Re Kamaal-E-Khudi

Us Ka To Noor Jalwa

Us Ka To Noor Jalwa-Numa Har Bashar Mein Hai
Ai Ghaafilo Futoor Tumhaari Nazar Mein Hai

Us Ka To Noor Jalwa

Jism Mein Dil Mein

Jism Mein,Dil Mein,Jee Mein Hairat Ke
Allah Allah, Kahaan Kahaan Tum Ho

Jism Mein Dil Mein

Aankh Bhi Chaahiye

Aankh Bhi Chaahiye Nazzaara-E-Wahdat Ke Liye
But Ko Aasaan Nahin Munh Se Khuda Kah Dena

Aankh Bhi Chaahiye

Woh Hai Sab Jagah

Woh Hai Sab Jagah Jo Karo Nazar, Woh Kahin Nahin Jo Ho Be-Basar,
Mujhe Aaj Tak Na Hui Khabar, Woh Kahaan Hai, Aur Kahaan Nahin

Woh Hai Sab Jagah

Jahaan Toofaan Mein Phans

Jahaan Toofaan Mein Phans Kar Safeena Dagmagaata Hai,
Wahaan Qadar-E-Khuda-O-Na-Khuda Maaloom Hoti Hai

Jahaan Toofaan Mein Phans

Aql Mein Jo Ghir Gaya

Aql Mein Jo Ghir Gaya, La Intehaa Kyonkar Hua,
Jo Samajh Mein Aa Gaya, Phir Woh Khuda Kyonkar Hua

Aql Mein Jo Ghir Gaya

Khuda Ka Matlab

Khuda Ka Matlab Hai Khud Mein Aa Tu, Khud Aagahi Hai Khuda Shanaasi,
Khuda Ko Khud Se Juda Samajh Kar Bhatak Raha Hai Idhar Udhar Kyon

Khuda Ka Matlab

Daagh Ko Kaun Dene Wala Tha

‘Daagh’ Ko Kaun Dene Wala Tha,
Jo Diya, Ai Khuda, Diya Tu Ne

Daagh Ko Kaun Dene Wala Tha

Chamak Teri Ayaan

Chamak Teri Ayaan, Bijli Mein, Aatish Mein, Sharaare Mein,
Jhalak Teri Hawaida Chaand Mein, Sooraj Mein, Taare Mein

Chamak Teri Ayaan

Saudaagri Nahin

Saudaagri Nahin, Yeh Ibaadat Khuda Ki Hai,
Ai, Be-Khabar, Jizaa Ki Tamanna Bhi Chhor De

Saudaagri Nahin

Jab Ke Tujh Bin Koi

Jab Ke Tujh Bin Koi Nahin Maujood,
Phir Yeh Hangaama, Ai Khuda, Kya Hai

Jab Ke Tujh Bin Koi

Ghafil Khuda Ki Yaad Pe

Ghafil Khuda Ki Yaad Pe Mat Bhool, Zeenhaar,
Apne Taein Bhula De Agar Tu Bhula Sake

Ghafil Khuda Ki Yaad Pe