Shayari About Allah - Hindi Shayari

Ya Allah Mere Wo

Ya Allah mere wo Gunah maaf farma
jo meri duaon ko Qabool nhi hony dety.

Ya Allah Mere Wo

Ae Khuda Aaj Ye Faisla Karde

Ae Khuda Aaj Ye Faisla Karde
Use Mera Ya Mujhe Uska Karde
Bahut Dukh Sahe He Maine
Koi Khusi Ab Toh Muqadar Karde
Bahot Muskil Lagta Hai Usse Duur Rehna
Judai Ke Safar Ko Kum Karde
Jitna Duur Chale Gaye Woh Mujhse
Use Utna Kareeb Karde
Nahi Likha Agar Nasib Me Uska Naam
To Khatam Kar Ye Zindagi Aur Mujhe FANAA Karde

Ae Khuda Aaj Ye Faisla Karde

Thodi Si Ebaadat Bohat Sa

Thodi Si Ebaadat Bohat Sa Sila Deti Hai
Gulab Ki Tarha Chehra Khila Deti Hai
Allah Ki Yaad Ko Dil Se Jane Na Dena
Kabhi Kabhi Choti Si Dua Arsh Hila Deti Hai

Thodi Si Ebaadat Bohat Sa

Jab Baarish Ki Boondoon Ne

Jab Baarish Ki Boondon Ne Dharti Ko Chooma
Hum Ne Zameen Par Bikharte Sitaaron Ko Paaya
Jitne Sitaaron Ko Saawan Ne Barsaaya
Utni Baar Ai Khuda Tu Yaad Aaya

Jab Baarish Ki Boondoon Ne

Fiza Ne Jab Dariya Mein

Fiza Ne Jab Dariya Mein Pani Ko Sehlaaaya
To Jitne Bal Khaa Ke Paani Kinaaron Se Takraaya
Utni Baar Ai Khuda Tu Yaad Aaya

Fiza Ne Jab Dariya Mein

Teri Baargaah Mein Ai Khuda

Teri Baargaah Mein Ai Khuda, Jyun Hi Sar Ko Main Ne Jukha Diya,
Usi Waqt Teri Khudai Ne, Mujhe Pastiyon Se Uthaa Diya,

Main Zaleel Tha Main Haqeer Tha, Tere Dar Ka Ek Faqeer Tha,
Tu Ne Ek Hi Sajde Mein, Mujhe Kya Se Kya Banaa Diya,

Rag-E-Jaan Se Bhi Tu Qareeb Hai,Tu Hi Likhta Sab Ke Naseeb Hai,
Jise Chaaha Pal Mein Utha Diya, Jise Chaaha Pal Mein Giraa Diya

Teri Baargaah Mein Ai Khuda

Ai Khuda Ret Ke Sehra

Ai Khuda Ret Ke Sehra Ko Samandar Kar De
Ya Chhalakti Huwi Aankhon Ko Bhi Paththar Kar De

Tum Ko Dekha Nahin Mehsoos Kiya Hai Main Ne
Aa Kisi Din Mere Ehsaas Ko Yaqeen Kar De

Ai Khuda Ret Ke Sehra

Tere Bande Hain Hum

Ai Khuda, Ai Khuda, Tere Bande Hain Hum,
Hum Gunah-Gaar Hain, Hum Siyah-Kaar Hain
Rang-O-Khushbu Diye, Maah-E-Jugnu Diye,
Khwahishon Ke Humein, Chanchal Aahu Diye,
Jo Na Tooten Kabhi, Aise Jaadu Diye
Khetiyan Sabz Keen, Kar Ke Dharti Ko Nam,
Ai Khuda Ai Khuda Tere Bande Hain Hum

Tere Bande Hain Hum

Kaun Ai But Hai Tu Khuda Jaane

Kaun Ai But Hai Tu Khuda Jaane
Kufr Kya Shai Hai Koi Kya Jaane
Dil Ko Poochha Jo Main Ne Woh Bole
Kahin Hogaa Meri Balaa Jaane
Ek Hi Hain Khuda Wa But Zaahid
Wohi Mushtarak Hai Jo Khuda Jaane
Ishq Hai Khoob Shughl Samjhe Ham
Koi Uss Ko Na Jaane Yaa Jaane

Kaun Ai But Hai Tu Khuda Jaane

Dhoondne Se To Bashar Ko

Dhoondne Se To Bashar Ko Khuda Bhi Milta Hai
Khuda Agar Dhoonde To Insaan Kahaan Milta Hai

Dhoondne Se To Bashar Ko

Zameen Bhi Teri Hai

Zameen Bhi Teri Hai, Maalik Gulam Bhi Tere Hain
Kabhi Too Mere Khuda, Apne Aasmaan Se Nikal

Zameen Bhi Teri Hai

Duniya Se Dil Lagakar

Duniya Se Dil Lagakar Duniya Se Kya Mile Ga ,
Yaad-E-Khuda Kiye Ja Tujh Ko Khuda Mile Ga ,
Daulat Ho Ya Hukoomat Taqat Ho Ya Jawani,
Har Cheez Mitne Wali Har Cheez Aani-Jaani,

Duniya Se Dil Lagakar

Bananaa Padaa Hai Aap Hi

Bananaa Padaa Hai Aap Hi Apnaa Khuda Mujhe
Kis Kufr Ki Mili Hai Bhala Ye Sazaa Mujhe

Bananaa Padaa Hai Aap Hi

Tu Sab Se Aa Laa

Tu Sab Se Aa’laa,Tu Sab Se Bartar
Azmat Jo Hai Woh Tere Liye Hai
Shaukat Jo Hai Woh Tere Liye Hai
Allah-O-Akbar , Allah-O-Akbar

Tu Sab Se Aa Laa

Hum Mutmain Hain Us Ki

Hum Mutmain Hain Us Ki Razaa-Ke Baghair-Bhi,
Har-Kaam Chal Rahaa Hai, Khuda-Ke Baghair-Bhi

Hum Mutmain Hain Us Ki

Hum Se Tu Is Qadar

Hum Se Tu Is Qadar Khafa Kya Hai
Tu Sanam Hai Ke Hai Khuda Kya Hai
Hum Khade Hain Jhukaaye Sar Kab Se
Tegh Utha Tegh Dekhta Kya Hai

Hum Se Tu Is Qadar

Milaaye Hum Se Jo Aisi

Milaaye Hum Se Jo Aisi Nazar Nahin Koi
Hamaari Tarah Ka Rakhta Jigar Nahin Koi
Khuda Gavaah Ke Apna To Ghar Nahin Koi
Dayaar-E-Ghair Mein Mehram Agar Nahin Koi
To ‘Faiz’ Zikr-E-Vatan Apne Ru-Ba-Ru Hi Sahi

Milaaye Hum Se Jo Aisi

Main Khuda Ka Kabhi Bhi

Main Khuda Ka Kabhi Bhi Na Shukar Ada Kar Paoon Ga
Par Usse Kitna Chahta Hoon Ye Duniya Ko Dikhaoon Ga
Log To Pyaar Ke Naam Ko Aise Badnaam Kar Dete Hein
Main Pyar Ke Iss Paak Naam Ko Ik Naya Naam De Jaoon Ga

Main Khuda Ka Kabhi Bhi

Nahin Milte Na Miliye

Nahin Milte Na Miliye Khair Koi Mar Na Jaaye Ga
Khuda Ka Shukr Hai Pahle Mohabbat Apne Kaam Ki

Nahin Milte Na Miliye

Barson Se Tere Naam Pe

Barson Se Tere Naam Pe Khaata Raha Fareb
Mere Khuda Kahan Hai Tu Apna Pata To De

Barson Se Tere Naam Pe