Shayari About Ajnabi - Page 2 - Hindi Shayari

Ek Ajnabi Se

Ek Ajnabi Se Mujhe Itna Pyar Kyun Hai
Inkar Karne Pr Chahat Ka Ikrar Kyun Hai,

Use Pana Nhi Meri Taqdeer Mein Shayad,
Phir Har Mod Pe Usi Ka Intezar Kyun Hai

Ek Ajnabi Se Mujhe Itna Pyar

Us Ajnabi Ka Yun Na

Us Ajnabi Ka Yun Na Intezar Karo,
Iss Aashiq Dil Ka Na Aitbar Karo,
Roj Nikla Kare Kisi Ki Yaad Mein Ansu,
Itna Kabhi Kisi Se Na Pyaar Karo.

Us Ajnabi Ka Yun Na

Ajnabi Duniya Mein

Ajnabi Duniya Mein Akela Khwab Hoon Mein Sawaloon Se Ghira Aik Jawab Hoon Mein Jo Na Samajh Sake Unke Liye Kyun? Jo Samajhe Unke Liye Ek Kitaab Hoon Mein

Ajnabi Duniya Mein

Woh Ajnabi Tha

Woh Ajnabi Tha Tu Mujhse Dil Lagaya Kyun Is Gair Ko Apna Banaya Kyun Wo Mera Hota Tu Mujhe Choor Ke Kyun Jata Wo Mera Nhi Tha Tu Meri Zindagi Mein Aya Kyun

Woh Ajnabi Tha

Ajnabi Shehar Ke Ajnabi Raaste

Ajnabi Shehar Ke Ajnabi Raaste Meri Tanhaye Par Muskrate Rahe Mein Bahot Door Tak Uoon Hi Chalta Raha Tum Bahot Deer Tak Yaad Aate Rahe

Ajnabi Shehar Ke Ajnabi Raaste

Qissa E Gham E Hayat

Qissa E Gham E Hayat Na Pouch Aye Ajnabi, Jin Halat Mein Je Rahey Hein Kamaal Kr Rahey Hein

Qissa E Gham E Hayat