Shayari About Ajnabi - Hindi Shayari

Deta Raha Fareb

Deta Raha Fareb Koi Sadgi Ke Sath,
Itna Bada Majak Meri Zindgi Ke Sath,
Shayad Saja Mili Hai Us Jurm Ki Hume,
Humne Pyar Hi Kiya Ek Ajnabi Ke Sath

Deta Raha Fareb Koi Sadgi Ke Sath

Aajnabee Se Dost Jab

Aajnabee Se Dost Jab Banati Hai Dosti,
Dil Ke Karib Dil Ko Lati Hai Dosti
Sare Farq Bus Yun Hi Mitati Hai Dosti,
Khushi Aur Gum Mein Gana Sikhati Hai Dosti
Dost Ke Liye Jina Sikhati Hai Dosti,
Dhadkan Ka Sur Ban Jati Hai Dosti

Aajnabee Se Dost Jab

Ajnabi Ki Tarah Mile

Ajnabi Ki Tarah Mile Or Ulfat Ho Gayi,
Ajnabi Dost Aesa Mile Ki Dosti Ho Gayi,
Sachi Dosti Ka Irada Tha Unse,
Lekin Muje Unse Sachi Mahobbat Ho Gayi

Ajnabi Ki Tarah Mile

Koi Ajnabi Jab Apna Ban Jaye

Koi Ajnabi Jab Apna Ban Jaye,
Raah Me Roshni Ki Shama Jalaye,
Har Pal Yaad Karke Jab Koi Muskuraye,
Wahi To Hai Apna Jiski Har Khushi Humari Zindgi Ban Jaye

Koi Ajnabi Jab Apna Ban Jaye

Puchne Ki Mohlat

पूछने की मोहलत ही ना दी उन्होने,
लहज़ा बदलता गया और हम अजनबी हो गये

Puchne Ki Mohlat

Duniya Me Sabhi Hain Ajnabi

Duniya me sabhi hain ajnabi,
Hum hain aap ke liye ajnabi,
Aap hain mere liye ajnabi,
Ye ajnabi hi ban jate hain zindgi,
Kyuki ajnabi se hi hoti hai mohabbat aur dosti

Duniya Me Sabhi Hain Ajnabi

Woh Kaath Ke Purze

Woh Kaath Ke Purze Ura Raha Tha
Hawaoon Ka Rukh Dikha Raha Tha

Kuch Aur Bhi Ho Gaya Numaayan
Main Apna Likha Mita Raha Tha

Wo Ek Din Ek Ajnabi Ko
Meri Kahani Suna Raha Tha

Woh Kaath Ke Purze

Dil Mein Aansuon K Siwa

Dil Mein Aansuon K Siwa Koi Cheez Nahi Tikti
Kab Milegi Uski Yaadon Se Mujhe Mukhti
Zindegi Toh Mela Hai Ajnabiyon Ka
Kisi Ajnabi K Chale Jane Se Zindegi Toh Nahi Rukhti

Dil Mein Aansuon K Siwa

Yun Nazar Ki Baat

Yun Nazar Ki Baat Aur Dil Chura Gaye,
Andhero Ke Saaye Mein Dhadkan Suna Gaye,
Hum To Samjhe The “Ajnabi” Aapko,
Aap To Hume Apna Bana Gaye

Yun Nazar Ki Baat

Zindagi Mein Har Chiz

Zindagi Mein Har Chiz Pahli Baar Hoti Hai
Kahin Kisi Se Pyaar To Kahin Takrara Hoti Hai
Jo Kya Hua Ke Hum Ajnabi Hai Aapke Liye
Magar Dosti Ajnabiyon Se Hi Pahli Baar Hoti Hai

Zindagi Mein Har Chiz

Ek Ajnabi Hai

Ek Ajnabi Hai Magar,Rooh-Shanas Lagta Hai
Meri Tarha Mujhe,Wo Bhi Udaas Lagta Hai
Karon Talash Tou Ho Shak Wajood Pe Us K
Jo Aankhain Band Karon,Aas Paas Lagta Hai

Ek Ajnabi Hai

Ek Ajnabi Se Mujhe

Ek Ajnabi Se Mujhe Itna Pyaar Kyon Hai,
Inkar Karne Par Chahat Ka Ikraar Kyon Hai,
Use Pana Nahi Meri Taqdeer Mein Shayad,
Phir Har Mod Pe Usi Ka Intezaar Kyon Hai

Ek Ajnabi Se Mujhe

Usse Yakeen Ho Jaye

Usse Yakeen Ho Jaye Kuch Iss Ada Se
Sunana Hall-E-Dil Hamara Ajnabi …
Woh Khud Hi Keh De Kisi Ko Tarpana Buri Baat Hai

Usse Yakeen Ho Jaye

Bheer Mein Ik Ajnabi

Bheer Mein Ik Ajnabi Ka Saamna Acha Laga
Sub Se Chup Kar Wo Kisi Ka Dekhna Acha Laga

Surmayi Ankhon K Neechay Phool Se Khilnay Lagay
Kehtay Kehtay Kuch Kisi Ka Sochna Acha Laga

Baat Tau Kuch B Nahi Thi Laikin Is Ka Aik Dum
Haat Ko Honton Pe Rakh K Rokna Acha Laga

Dil Main Kitnay Ahad Bandhay Thay Bhoolnay K Usay
Wo Mila Tau Sub Iraday Torna Acha Laga

Bheer Mein Ik Ajnabi

Jis Shakhs Ki Khatir

Jis Shakhs Ki Khatir Ujarha Khud Ko
Kal Shab Ja Raha Tha Ik Ajnabi K Sath

Wo Ajnabi Tha

Wo Ajnabi Tha To Mujse Dil Lagaya Kyun?
Is Gair Ko Apna Banaya Kyun ?
Wo Mera Hota To Mujhe Chhod K Kyun Jata?
Wo Mera Nahi Tha To Meri Zindagi Me Aya Kyun?

Wo Ajnabi Tha

Ajnabi Mehfil Mein

Ajnabi Mehfil Mein Kisi Se Dil Na Lagana.
Suna Hai Bin Bulaye Anay Waly Bin Bataye Chaly Bhi Jate Hain

Ajnabi Mehfil Mein

Woh Ajnabi Say Koi

Wo Ajnabi Say Koi, Rishta Zaroor Hai
Maine Kisi Jaghan Use Dekha Zaroor Hai
Ye Aur Baat Hai Wo Milta Nhi Humein
Lakin Humare Pas Wo Rehta Zaroor Hai
Hum Hi Samajh Na Paye Tu, Us Ka Qasoor Kiya
Kuch Khamoshi Ke Lub Se Wo Kehta Zaroor Hai
Sansoon Ke Aane Jane Sy Milta Hai Ye Ehsas
Es Dil Mein Koi Aj Bhi Rehta Zaroor Hai

Woh Ajnabi Say Koi

Dil Ke Ghar Mein

Dil Ke Ghar Mein Basne Wale Ajnabi Nahi Hote
Har Waqt Yaad Ane Wale Ajnabi Nahi Hote

Khushi Dene Wale To Apne Hote Hain
Par!Gham Dene Wale Bhi Ajnabi Nahi Hote

Kabhi Jo Hum Pe

Kabhi Jo Hum Pe Jaan Diya Karti Thi
Jo Kehte Thy Wo Maan Liya Karti Thi

Kal Anjaan Ban Kr Pass Se Guzar Gyi
Woh Jo Door Se Pehchan Liya Karte Thi