Sahir Ludhianvi Shayari - Page 3 - Hindi Shayari

Gham Is Kadar Barhey Ke Mein

Gham is kadar barhey ke mein ghabra ke pee gaya,
Is dil ki be-basi pe tarss kha ke pee gaya,
Thukra raha tha mujh ko bari der se jahan,
Main aaj sab jahan ko thukraa ke pee gaya..

Tum Mere Liye Koi Ilzaam Na Dhoondho

Tum mere liye koi ilzaam na dhoondho,
Chaaha tha tumhein, yahi ilzaam bahut hai.

Bujhaa Diye Hain Khud Apne Hathon

Bujhaa diye hain khud apne hathon mohabton ke diye jala ke,
Meri wafaa ne ujaarr di hain umeed ki bastiyaan basaa ke,

Tujhe bhulaa denge apne dil se yeh faisla to kiya hai lekin,
Na dil ko maluum hai na hum ko jiyenge kaise tujhe bhula ke,

Kabhi milenge jo raaste mei to muunh phiraa kr palatt parrenge,
Kahin sunen ge jo naam tera to chup rahenge nazar jhuka ke,

Na sochne pr bhi sochti huun ke zindgaani mein kya rahe ga,
Teri tamanna ko dafn kr ke tere khayaalon se duur jaa ke..

Tum Mujhe Bhool Bhi Jaao Toh

Tum mujhe bhool bhi jaao toh yah haq hai tumko,
Meri baat aur hai maine to muhabbat ki hai.

Bharrkaa Rahe Hain Lab-E-Naghmagar

Bharrkaa rahe hain aag lab-e-naghmagar se hum,
Khamosh kya rahen ge zamaane ke ddar se hum,

Kuch aur barrh gaye jo andhere to kya hua,
Maayuus to nahin hain tuluu-e-sehar se hum,

Le de ke apne paas faqat ik nazar to hai,
Kyun dekhen zindagi ko kisi ki nazar se hum,

Maaana ke is zameen ko na gulzaar kr sake,
Kuch khaar kum to kar gaye guzre jidar se hum..

Umar Bhar Rengte Rehane Se

Umar bhar rengte rehane se to behtar hai,
Ek lamha jo teri rooh mein vusat bhar de.

Abhi Zinda Hun Lekin Sochta Rehta Hun

Abhi zinda hun lekin sochta rehata hun khalwat mein,
Ki ab tak kis tamnna ke sahaare jee liya maine.

SAMSUNG CSC

Ab Aayein Ya Na Ayein Idhar Puchte Chalo

Ab aayein ya na ayein idhar puchte chalo,
Kyaa chahti hai un ki nazar puchte chalo,

Ham se agar hai tark-e-talluq to kya hua,
Yaaro koi to un ki khabar puchte chalo,

Jo khud ko keh rahe hain ke manzil-shanaas hain,
Un ko bhi kya khabar hai magar puchte chalo,

Kis manzil-e-muraad ki janib ravaan hain hum,
Ae raah-e-ravaan e khaak-bassar puchte chalo..

Ishq Kya Cheez Hai Yeh Poochhiye

Ishq kya cheez hai yeh poochhiye parwaane se,
Zindagi jisko mayssar hui mar jaane ke baad.

Yeh Zulf Agar Khul Ke Bikhar Jaye

Yeh zulf agar khul ke bikhar jaye to acha,
Iss raat ki taqdeer sanwar jaye to acha,

Jis tarah se thori si tere saath katti hai,
Baaqi bhi issi tarah guzar jaaye to acha,

Duniya ki nigaahon mein bhalaa kya hai bura kya,
Yeh bojh agar dil se utar jaaye to acha,

Waise to tumhiin ne mujhe barbaad kiyaa hai,
Ilzaam kisi aur ke sar jaaye to acha..

Kabhi Khud Pe, Kabhi Halaat Pe Rona Aaya

Kabhi khud pe, kabhi halaat pe rona aaya,
Baat nikali to har ek baat pe rona aaya.

Teri Duniya Mein Jeene Se To Behtar

Teri duniya mein jeene se to behtar hai ke mar jaayen,
Wohi aansuu wohi aahen wohi gham hai jidhar jaayen,

Koi to aisa ghar hota jahan se pyaar mil jaata,
Wohi begaane chehre hain jahaan jaayen jidhar jaayen,

Arey o aasmaan waale bataa is mei buraa kya hai,
Khushi ke chaar jhonke gr idhar se bhi guzar jaayen.

Jab Bhi Jee Chahe Nai Duniya

Jab bhi jee chahe nai duniya basa lete hain log,
Ek chehare pe kai chehare laga lete hai log.

Sazaa Ka Haal Sunaayein Jazaa

Sazaa ka haal sunaayien jazaa ki baat karen,
Khudaa mila ho jinhe woh khudaa ki baat karen,

Unhen pata bhi chale aur woh khafaa bhi na hon,
Iss ehtiyaat se kya mudaa.aa ki baat karen,

Hamare ehd ki tehzeeb mei qabaa hi nahin,
Agar qabaa ho to band-e-qabaa ki baat karen,

Har ek daur ka mazhab neyaa khuda laaya,
Karen to hum bhi magar kis khuda ki baat karen,

Wafaa-shuaar keyi hain koi haseen bhi to ho,
Chalo phir aaj ussi bewafaa ki baat karen..

Yaad Mitati Hai Na Manzar

Yaad mitati hai na manzar koi mit sakta hai,
Door jaakar bhi tum apne aap ko yahan paaogi.

Ab To Daaman-E-Dil Chorr Do

Ab to daaman-e-dil chorr do bekaar umeedo,
Bohat dukh sehh liye mene bohat din jee liya maine..

Mai Pal Do Pal Ka Shayar Hoon

Mai pal do pal ka shayar hoon pal do pal meri kahani hai,
Pal do pal meri hasti hai pal do pal meri jawani hai.

Kaun Rota Hai Kisi Aur Ki

Kaun rota hai kisi aur ki khaatir aye dost,
Sab ko apni hi kissi baat pe rona aaya..

Gar Zindagi Mein Mil Gaye

Gar zindgi mein mil gaye phir ittfaak se,
Poonchhenge apna haal teri bebasi se hum.

Phir Na Kijiye Meri Gustaakh

Phir na kijiye meri gustaakh nigaahi ka gila,
Dekhiye aap ne phir pyaar se dekha mujhe..