Parveen Shakir Shayari - Hindi Shayari

Achi Surat Ko Swarne Ki Zarurat Kya Hai

Achi Surat Ko Swarne Ki Zarurat Kya Hai,
Sajani,
Saadgi Bhi To Qyamat Ki Ada Hoti Hai.

Hum Phir Se Niklenge Talaash-E-Zindagi

Hum Phir Se Niklenge Talaash-e-Zindagi Mein,
Aye Dosto
Dua Karna Is Baar Kisi Se Mohabbat Na Ho.

Saza Ban Jati Hai Guzre Huwe

Saza Ban Jati Hai Guzre Huwe Waqt Ki Yaadein,
Najaane Kyun ChoOr Jaane Ke Liye Meharban Hote Hein LoOg.

Vo Ehad, Ehad Hi Kya Jise Nibhao Bhi

vo ehad, ehad hi kya jise nibhao bhi,
hamaare vadaa-e-ulfat ko bhul jaao bhi,

bhala kaha ke ham aise gumaan valey hein,
hazar baar ham aaye hamein bulaao bhi,

bigar chala hai bahut rasm-e-Khud_kushi ka chalan,
Daraane valo kisi roz kar dikhao bhi,

tumhari neend mey Dubi hui aankho ki qasam,
hamin ye zid hai k jaago bhi aur jagaao bhi.

Mere Paas Itne Sawaal The

Mere paas itne sawaal the meri umar se na simat sake
Tere paas jitne jawaab the teri ek nigaah main aa gaye!

Gair To Kiya Apne Liye Bhi

Gair To Kiya Apne Liye Bhi Bekar Howe Hum,
Ek Khaar K Liye Bhi Boht Khawaar Howe Hum,

Jab Weeran Sabza Zaar Men Ek Phool Aagiya,
To kehne Lage Sabhi Raqeeb Khazaan Daar Howe Hum,

Yeh Shekwe Shekayten Nahi Ahwaal Hai Mera,
Ab Anjaan Hain Jin K Liye Dildaar Howe Hum,

Afsos k is Ne Wafa Ka Paas Na Rakha,
Jis K Liye Khud Se Bhi Gaddaar Howe Hum.

Meri Talab Tha Ek Shakhs Woh

Meri talab tha Ek shakhs woh jo nahin mila tou phir,
Hath dua se yoon gira, Bhool geya sawaal bhi.

Mujhe Teri Mohabbat Ne Ajab Ik

Mujhe teri mohabbat ne ajab ik roshni baskhshi,
Mein is dunya ko ab pehle se behter dekh sakti hoon.

Ajnabi Logon Mein Ho Tum

Ajnabi logon mein ho tum aur itni door ho,
Aik uljhan si raha karti hai rozaana humain.

Hawaa Ke Hote Huye Roshni Tu Kar Jaye

Hawaa ke hote huye roshni tu kar jaye,
Meri tarah se koi zindagi tu kar jaye,

Tamaam umar tayeb mein hi basar hogi,
Teri taraf se nazar be-rukhi to kar jaye,

Chiragh-e-dil teh mehraab jaan na chore,
Hawaa ke sath koi dushmani to kar jaye,

Phir is ke baad jahan mein kahin panaah nahin,
Tere huzoor yeh jaan sarkashi tou kar jaye,

Woh dushmani ke bhi kaabil na mujh ko chore ga,
Us aadmi se yeh dil dosti tou ka jaye.

Mar Bhi Jaaon To Kahan Log

Mar bhi jaaon to kahan log bhula hi denge,
Lafz mere, mere honey ki gawaahi denge.

Chaara Saazon Ki Azyat Nahi Dekhi Jaati

Chaara Saazon Ki Azyat Nahi Dekhi Jaati,
Tere Bimaar Ki Haalat Nahi Dekhi Jaati,

Dene Waalay Ki Mashiyyat Pe Hai Sab Kuch Mauqoof,
Maangnay Waalay Ki Haajat Nahi Dekhi Jaati,

Din Behel Jaata Hai Laikin Tere Dewaanon Ki,
Shaam Hoti Hai Tou Wehshat Nahi Dekhi Jaati,

Tamkanat Se Tujhay Rukhsat Tou Kia Hai Laikin,
Ham Se In Aankhon Ki Hasrat Nahi Dekhi Jaati,

Kon Utraa Hai Ye Aafaaq Ki Pehnaayi Mein ?
Aaina Khaanay Ki Hairat Nahi Dekhi Jaati.

Sheher Ko Teri Justaju Hai Bohat

Sheher ko teri justaju hai bohat,
In dinon hum pe guftagu hai bohat,

Jab se parvaaz ke shareek miley,
Ghar bananey ki aarzoo hai bohat,

Dard reh reh ke sar uthaata hai,
Kabhi kam ho gaya, Kabhi hai bohat,

Kuch tou woh yaad bhi bohat aya,
Kuch in ankhon mein bhi lahu hai bohat,

Peeney wali aankh hai darkaar,
Aankh ko chaand ka sabuu hai bohat..

Taar-E-Mazgaan Nahi Mil Raha Tha

Taar-e-Mazgaan Nahi Mil Raha Tha,
Zakham Kis Yaad Ka Sil Raha Tha,

Barf Mein Roshni Ghul Rahee Thi,
Wo Mujhe Khwaab Mein Mil Raha Tha,

Kuch Ajab Roshni Baagh Mein Thi,
Phool Kis Rung Ka Khil Raha Tha,

Saamnay Tha Wo Aur Dono Chup The,
Ab Na Ham Thay Na Wo Dil Raha Tha,

Rung-o-Rogan Ki Baatain Mehel Mein,
Sheher Bunyaad Se Hil Raha Tha.

Bas Tere Rawaiyon Ka Sabab

Bas tere rawai’yon ka sabab dhoondte rehna,
Yeh silsila ab aur to chalne ka nahin..

Andheri Raaton Ke Tanhaa

Andheri raaton ke tanhaa musafiron ke liye,
Diyaa jalata hua koi saaz o rakht na tha.

Mere Liye To Wo Khanjar Bhi Phool

Mere liye to wo khanjar bhi phool ban ke uthaa,
Zabaan sakht thi, lehjaa magar karakht na tha.

Shajar Ke Haath Mein Ek Zard

Shajar Ke Haath Mein Ek Zard Phool Baaqi Hai,
Abhi Libaas-e-Musaafir Pe Dhool Baaqi Hai,

Mere Qabeelay Mein Niklay Subhi Farokhtni,
Na Koi Waada Na Koi Usool Baaqi Hai,

Duroon-e-Sheher Gulaabon Ki Baa’r Khatam Howi,
Kinaaray Sheher Puraani Babool Baaqi Hai,

Hawa-e-Sheher-e-Sitam Ko Abhi Pata Na Chalay,
Mere Dupattay Mein Ik Surkh Phool Baaqi Hai.

Najana Konsa Aasaib Dil Mein

Najana kon sa aasaib dil mein basta hai,
Ke jo bhi thehra woh aakhir makaan chor gaya.

Humain Khabar Hai, Hawaa Ka Mizaaj

Humain khabar hai, Hawaa ka mizaaj rakhte ho,
Magar yeh kya, ke zara dair ko rukey bhi nahin.