Nasir Kazmi Shayari - Hindi Shayari

Kya Lage Raat Ke Phir Dil Mein Samaya Koi

Kya lage raat ke phir dil mein samaya koi,
Raat bhar phirta hai is sheher mein saya koi,

Fikr yeh thi ke shab e hijar kattey gi kyun kar,
Lutff yeh hai ke humain yaad na aaya koi,

Shauk yeh tha ke mohabbat mein chalein ge chup chap,
Ranj yeh hai ke tamasha na dikhaya koi,

Sheher mein humdum dereena bohat they nasir,
Waqt parney per mere kaam na aya koi.

Udaasion Ka Samaa Mehfilon Mein

Udaasion Ka Samaa Mehfilon Mein Chhor Gayi,
Bahaar Ik Khaash Si Dilon Mein Chhor Gayi,

Bichar Ke Tujh Se Hazaaron Taraf Gaya Khayaal,
Teri Nazar Mujhe Kin Manzilon Mein Chhor Gayi,

Kahan Se Laa’ye Ab Os Nigaah Ko Nasir ?
Jo Na-Tamaam Umangain Dilon Mein Chhor Gayi.

Tere Milne Ko Be-Kal Hogaye Hain

Tere Milne Ko Be-Kal Hogaye Hain,
Magar Ye Loog Paagal Hogaye Hain,

Bahaarain Le Ke Aaye Thay Jahaan Tum,
Wo Ghar Sunsaan Jangal Ho Gaye Hain,

Yahaan Tak Barh Gaye Aalaam-e-Hasti,
Ke Dil Ke Honslay Shal Ho Gaye Hain,

Unhain Sadyon Na Bhoolay Ga Zamaana,
Yahaan Jo Haadsay Kal Ho Gaye Hain,

Jinhain Hum Dekh Kar Jeetay Thay Nasir,
Wo Loog Aankhon Se Ojhal Ho Gaye Hain.

Bhari Duniya Mein Jee Nahin Lagta

Bhari duniya mein jee nahin lagta,
Jaane kis cheez ki kami hai abhi.

Yun Baitha Hun Dil Ke Daagh Se Khush

Yun Baitha Hun Dil Ke Daagh Se Khush,
Jaisay Bacha Charaagh Se Khush,

Jab Taaron Ki Shamain Jhilmilain,
Saaqi Ne Kia Ayaagh Se Khush,

Gham Chorh Gaya Jisay Jagaa Kar,
Wo Dil Na Howa Faraagh Se Khush,

Ab Naala-e-Dil Na Chairh Bulbul,
Ye Baagh Hai Shor-e-Zaagh Se Khush,

Ab Raas Hai Ka Kunj-e-Gham Hee “Nasir”,
Ab Dil Nahi Sair-e-Baagh Se Khush.

Teri Zulfon Ke Bikharne Ka Sabab Hai Koi

Teri Zulfon Ke Bikharne Ka Sabab Hai Koi,
Aankh Kehti Hai Tere Dil Mein Talab Hai Koi,

Aanch Aati Hai Tere Jism Ki Uryaani Se,
Pairhan Hai Ke Sulagti Howi Shab Hai Koi,

Hosh Uraanay Lageen Phir Chaand Ki Thandi Kirnain,
Teri Basti Mein Hun Ya Khwaab-e-Tarb Hai Koi,

Geet Banti Hai Tere Sheher Ki Bharpoor Hawa,
Ajnabi Mein Hee Nahi TU Bhee Ajab Hai Koi,

Lye Jaati Hain Kisi Dehaan Ki Lehrain “Nasir”,
Door Tak Silsila Taak-e-Tarb Hai Koi.

Juda Huye Hain Bohat Log

Juda huye hain bohat log ik tum bhi sahi,
Ab itni si baat pe kya zindagi haraam karain.

Jab Tak Ham Mashroof Rahe

Jab tak ham masroof rahe yeh dunya thi sunsaan,
Din dhalte hi dheyaan mein aye kese kese log.

Sheher Ki Be’Chiraag Galiyon Mein

Sheher ki be’chiraag galiyon mein,
Zindagi tujh ko dhoondti hai abhi.

Shehar Mein Humdum Puraane

Sheher mein humdum puraane bohat the Nasir,
Waqt parrne pe mere kaam na aaya koi.

Kabhi Roye, Kabhi Tujh Ko Pukaara

Kabhi roye, kabhi tujh ko pukaara,
Shab-e-furqat bari mushkil se guzri.

Diyaar-E-Dil Ki Raat Mein Charaagh

Diyaar-e-Dil Ki Raat Mein Charaagh Sa Jalaa Gaya,
Mila Nahi Tou Kia Howa, Wo Shakal Tou Dikha Gaya,

Wo Dosti Tou Khair Ab Naseeb-e-Dushmanaa.n Howi,
Wo Choti Choti Ranjishon Ka Lutf Bhee Chala Gaya,

Judayion Ke Zakham Dard-e-Zindagi Ne Bhar Dye,
Tujhe Bhee Neend Aa Gayi Mujhe Bhi Sabar Aa Gaya,

Pukaarti Hain Fursatain Kahan Gayin Wo Sohbatain,
Zamee.n Nigal Gayi Unhain Ke Aasmaan Khaa Gaya.

Mujhe Yeh Dar Hai

Mujhe yeh dar hai, teri aarzu na mitt jaye,
Bohat dinon se tabiyat meri udaas naheen.

Dil To Mera Udaas Hai Nasir

Dil to mera udaas hai Nasir,
Sheher kyun saayen saayen karta hai.

Inko Nasir Na Kabhi Ankh Se

In ko Nasir na kabhi ankh se girne dena,
Un ko lagte hain meri ankh mein pyare aansu.

Hamare Ghar Ki Deewaron Pe Nasir

Hamare ghar ki deewaron pe Nasir,
Udaasi baal khole so rahi hai.

Aaj To Besabbab Udaas Hai Jee

Aaj to be’sabbab udaas hai jee,
Ishq hota to koi baat bhi thi.

Hoti Hai Tere Naam Se Wehshat

Hoti hai tere naam se wehshat kabhi kabhi,
Barham huyi hai yuun bhi tabiyat kabhi kabhi.

Hoti Hai Tere Naam Se Wehshat

Hoti hai tere naam se wehshat kabhi kabhi,
Barham huyi hai yuun bhi tabiyat kabhi kabhi,

Tere qareeb reh kar bhi dil mutmayin na tha,
Guzri hai mujh pe yeh bhi qayamat kabhi kabhi,

Kuch apna hosh tha na tumhara khayal tha,
Yuun bhi guzar gayi shab-e-furqat kabhi kabhi,

Ae dost hum ne tark-e-mohabbat ke bawjood,
Mehsoos ki hai teri zaroorat kabhi kabhi.

Deewangi-E-Shoq Ko Yeh Dhun Hai

Deewangi-e-shoq ko yeh dhun hai ke in dinon,
Ghar bhi ho aur be-dar o deewar sa bhi ho.