Munnawar Rana Shayari - Page 2 - Hindi Shayari

Ab Mere Paas Teri Nishaani Nahin Koi

Ab mere paas teri nishaani nahin koi,
ek khat bacha hua tha woh dariya ko de diya.

Utra Huwa Gulaab Ka Chehra

Utra Huwa Gulaab Ka Chehra Na Padh Sake,
Wo Dost Kya Jo Dost Ka Likha Na Padh Sake,
Chaahe Kisi Bhi Bhasha Mein Likhe Krishn ke Khat,
Mumkin Nahi Ki Usko Sudaama Na Padh Sake.

Tamaam Jism Ko Aankhein Bana Ke

Tamaam jism ko aankhen bana ke raah tako,
tamaam khel mohabbat mein intezaar ka hai.

Ek Halat Par Na Rehne Payi

एक हालत पर न रहने पायी दिल की हसरते,
तुमने जब देखा नए अंदाज से देखा मुझे.

Dariya Ko Zom Tha Ki Main Dhaare

Dariya ko zom tha ki main dhaare pe aa gaya,
lekin main bach bachaa ke kinaare pe aa gaya.

Mujh ko bulaane waalon ne umren nikaal di,
lekin main tere ek ishaare pe aa gaya.

Uss ka tamaam husn humari nazar mein hai,
kashmir saara ek shikaare pe aa gaya.

Saanso ki dor toot bhi jaaye toh ghum nahin,
shukr-e khuda main aakhri paare pe aa gaya. !!

Tumhein Bhi Neend Si Aane Lagi Hai

Tumhein bhi neend si aane lagi hai thak gaye hum bhi,
chalo hum aaj ye kissa adhoora chhod dete hain.

Qubooliyat Ki Ghadi Hai

Qubooliyat ki ghadi hai agar mere Maula!
toh Maa ke chehre se ye saari Jhurriyaa’n udd jaayen ..!

Jo Hukum Deta Hai Woh Ilteza

Jo hukum deta hai woh ilteza bhi karta hai,
Ye aasmaan kahin par jhuka bhi karta hai.

Main apni haar pe naadim iss yaqeen ke sath,
Ki apne ghar ki hifazat khuda bhi karta hai.

Tu bewafa hai toh ek buri khabar sun le,
Ki intezaar mera koi dusra bhi karta hai.

Haseen logon se milne pe aitraaz na kar,
Ye jurm woh hai jo shaadi-shuda bhi karta hai.

Humesha gusse se nuksaan hi nahin hota,
Kahin kahin ye bahut fayda bhi karta hai. !!

Gulaab Rang Ko Tere Kapaas Hona Pade

Gulaab rang ko tere kapaas hona pade,
Na itna hans ki tujhe devdaas hona pade.

Balaa se jati hain aankhein phir chali jayen,
Main usko dekh lun phir devdaas hona pade.

Ye aarzoo hai ki guzren idhar se woh chahe,
Humari palkon ko raaste ki ghaas hona pade.

Ye mod woh hai jahan khudkushi bhi jaayaz hai,
Meri anaa ko agar belibaas hona pade. !!

Shareef Insaan Aakhir Kyon Election

Shareef insaan aakhir kyon election haar jaata hai,
kitaabon mein toh ye likha tha raavan haar jaata hai.

Judi hain iss se tehzeeben sabhi tasleem karte hain,
numaaish mein magar mitti ka bartan haar jaata hai.

Mujhe maloom hai tumne bahut barsaaten dekhi hain,
magar meri inhin aankhon se saawan haar jaata hai.

Abhi maujood hai iss gaaon ki mitti mein khuddari,
abhi bewaa ki ghairat se mahaajan haar jaata hai.

Agar ek keemti bazaar ki soorat hai yeh duniya,
toh phir kyon kaanch ki choodi se kangan haar jaata hai. !!