Mohsin Naqvi Shayari - Hindi Shayari

Thakan Se Raah Mein Chalna Muhaal

Thakan se raah mein chalna muhaal bhi hai mujhe,
kamaal par bhi tha main hi zawaal bhi hai mujhe.

Sadak pe chalte hue ruk ke dekhta hun main,
yahin kahin hai tu ye ehtimaal bhi hai mujhe.

Ye mere gird tamasha hai aankh khulne tak,
main khwaab mein toh hun lekin khyaal bhi hai mujhe.

Ussi ke lutf se marne se khauf aata hai,
ussi ke dar se ye jeena muhaal bhi hai mujhe.

Sawaad-e-shaam-e-safar hai jalaa jalaa sa ‘munir
khushi ke saath ajab sa malaal bhi hai mujhe.

Sadkon Pe Beshumaar Gul-E-Khoon

Sadkon pe beshumaar gul-e-khoon pade hue,
Peddon ki daaliyon se tamaashe jhade hue,
Kothon ki mamtiyon pe haseen buut khade hue,
Sunsaan hain makaan kahin dar khula nahin,
Kamre saje hue hain magar raasta nahin,
Veeraan hai poora shehar koi dekhta nahin,
Aawaaz de raha hun koi bolta nahin.

Tujhse Bichaar Kar Kya Hoon Main

Tujhse bicharr kar kya hoon main, ab bahar akar dekh,
Himmat hai to meri haalat, aankh mila kar dekh,

Shaam hai gehri, tez hawaa hai, sar pe khari hai raat,
Rasta gaye musafir ka ab diya jalaa kar dekh,

Darwaze ka paas aa aa kar wapis murrti chaap,
Kaun hai iss sunsaan gali main, paas bula kar dekh,

Shayed koi dekhne wala ho jaye khairaan,
Kamre ki deewaron par koi naqsh bana kar dekh,

Tu bhi Munir ab bhare jahaan main mil kar rehna seekh,
Bahar se to dekh liya, ab andar jaa kar dekh..

Usse Paana, Usse Khona

Usse Paana, Usse Khona, Ussi Ke Hijr Mein Rona,
Yehi Gar Ishq Hai Mohsin, To Hum Tanha Hi Ache Hain.

Wo Rootha Rootha Sa Lgta Hai

Wo rootha rootha sa lgta hai
koi tarkeeb btao pass aane ki ?Mohsin?
Main zindgi girvi rkh skta hoom
tum qeemat btao usey manane ki.

Zoq-E-Deed Mein Hai Takleef

Zoq-e-Deed Mein Hai Takleef har Roz Sara’sar
“Mohsin”
Ache rehte Hn Wahi Log Jo Mohabbat Nahi Karte.

Yun Wafa Ke Silsilae Musalsal

Yun Wafa Ke Silsilae Musalsal Na Rakh Kisi Se Mohsin
Log ik Khata Ke Badly,Saari Wafaein Bhool Jaate Hain.!!

Mumkin Hai Tere Baad Bhi Aaati Hongi

Mumkin hai tere baad bhi aati hon gi baharen Mohsin
Gulshan main tere baad kabhi ja kr nahi dekha.

Bhool Jana To Rasm-E-Duniya Hai Mohsin

Bhool jana to rasm-e-duniya hai Mohsin,
Tumne bhool kar konsa kamaal kar diya.

Na Jago Raat Bhar Mohsin

Na jago raat bhar ‘MOHSIN’ meri mano to soo jao,
Ye ‘Khawabidah Nazr’ phir kal kisi ko maar Dalegi.

Dekhi Hai Berukhi Ki Aj Humne

Dekhi hai berukhi ki aj humne inteha Mohsin,
Hum pe nazar pari to “wo mehfil se uth gaye.

dekhi-hai-berukhi-ki-aj-hum-ne

Aaj Phir Chand Ufaq Par Nahin

Aaj phir chand ufaq par nahin ubhra mohsin,
Aaj phir raat na guzrey gi suhaani apni.

Muun Chupaaye Huye Guzra Hai

Muun chupaaye huye guzra hai idhar se jo woh aaj,
Us ki aankhon mein koi zakham neya lagtaa hai.

Saltanat Dil Mein Hi Nahi Uski

Saltanat Dil Mein Hi Nahi Uski,
Aasmaan Tak Hai Sar-Zameen Uski,

Phir Paharon Pe Barf Pighli Hai,
Phir Damaknay Lagi Jabeen Uski,

Dehaan Rakhna Har Ik Aahat Per,
Shaayad Ubhray Sadaa Kaheen Uski,

Ab Bhi Roshan Hai Zindagi Usse,
Ab Bhi Soorat Hai Dil-Nasheen Uski,

Hijr Ki Rut Azaab Hai Mohsin,
Aadatain Sab Badal Gayin Uski.

Aaine Par Kabhi Kitaab Mein Hain

Aaine Par Kabhi Kitaab Mein Hain,
Oski Aankhain Ajeeb Azaab Mein Hain,

Thaktay Phirtay Hain Dhoop Mein Bachay !
Titliaan Saaya-e-Gulaab Mein Hain,

Ek Kachay Gharay Ki Jurrat Per,
Kitni Tugyaaniaan Chanaab Mein Hain,

Wo Abhi Tak Hai Ru-Baruu Apnay,
Hum Abhi Tak Hisaar-e-Khwaab Mein Hain…!

Oski Aadat Hai Roothna Mohsin,
Loog Be-Waja Iztaraab Mein Hain.

Is Zindagi Mein Itni Faraghat

Is zindagi mein itni faraghat kisey naseeb,
Itna na yaad aa ke tujhe bhool jayen hum..

Rait Par Likh Kar Mera Naam Mitaya

Rait Par Likh Kar Mera Naam Mitaya Na Karo,
Aankhen Sach Bolti Hain Piyar Chupaya Na Karo,

Log Har Baat Ka Afsaana Banaa Lete Hain,
Sab Ko Rudaad-e-Gham-e-Ishq Sunaaya Na Karo,

Yeh Zaroori Nahi Har SHaks Maseeha Hi Ho,
Piyar Kay Zakhm Amaanat Hain Dikhaya Na Karo,

Shaher-e-Ehsaas Mein Pathraao Boht Hai “Mohsin”,
Dil Ko Sheeshe Kay Jharokon Mein Sajaaya Na Karo.

Fasl-E-Khirad Hai Rung-E-Chaman

Fasl-e-Khirad Hai Rung-e-Chaman Dekhte Chalo,
Phir Ehtmaam-e-Daar-O-Rasan Dekhtay Chalo,

Dilchasp Waqea Hai Ke Sehra Ki Dhoop Mein,
Zarro’n Ka Jal Raha Hai Badan Dekhte Chalo,

Tanqeed Mat Karo Ke Zamana Kharab Hai,
Chup Chaap Dosto’n Ka Chalan Dekhte Chalo,

“Mohsin” Shab-e-Siyaah Bhi Orhay Huay Hain Aaj,
Shaffaaf Chandni Ka Kafan Dekhte Chalo.

Shayad Mera Wajood Hi Suraj Tha

Shayad mera wajood hi suraj tha sheher mein,
Main bujh geya to kitne gharon mein chiraag jaley..

Gum Sum Si Raahguzar Thi

Gum’sum si raahguzar thi, kinara nadi ka tha,
Paani main chaand, chaand main chehra kisi ka tha.