Mirza Ghalib Shayari - Page 5 - Hindi Shayari

Koi Ummeed Bar Nahi Aati

Koi ummeed bar nahi aati
koi soorat nazar nahi aati

Ki Mere Qatl Ke Baad

Ki mere qatl ke baad us ne jafaa se tauba
haaye us zood-pasheemaan ka pasheemaan hona

Na Tha Kuch To Khuda Tha

“na tha kuch to Khuda tha, kuchch na hota to Khuda hota,
duboya mujhko honi ne, na hota main to kya hota?”

Kitne Sheereen Hain Tere Lab

Kitne sheereen hain tere lab ki raqeeb
gaaliyaan kha ke be-mazaa na hua

Kaha Jo Usne Ki

Kaha jo usne ki hum tumhe barbad kardenge,
hamne muskura ke puchha…
Mohabbat karne ka iraada hai kya hamse.

Kaha Jo Usne Ki

Qaasid Ke Aate Aate Khat

Qaasid ke aate aate khat ik aur likh rakhuun
mai jaanta huun jo vo likhenge jawaab mein

Na Socha Maine Aage

न सोचा मैंने आगे,
क्या होगा मेरा हशर,
तुझसे बिछड़ने का था,
मातम जैसा मंज़र!

Kaaba Kis Munh Se

Kaaba kis munh se jaaoge ‘Ghalib’
sharm tum ko magar nahi aati

Pyar Ghazal Hai

Pyar Ghazal Hai GunGunane Ke Liye,
Pyar Nagma Hai Sunane Ke Liye,
Ye Vo Zajba Hai Jo Sabko Nahi Milta,
Kyoki Haunsla Chahiye Pyar Ko Nibhane Ke
Liye…

Kahaan Mei-Khaane Ka Darvaaja

Kahaan mei-khaane ka darvaaja ‘Ghalib’ aur kahaan vaaiz,
par itna jaante hain kal vo jaata tha ki ham nikle.

Mohabaat Ko Jo Nibhate Hain

मोहबत को जो निभाते हैं उनको मेरा सलाम
है,
और जो बीच रास्ते में छोड़ जाते हैं उनको,
हुमारा ये पेघाम हैं,
“वादा-ए-वफ़ा करो तो फिर खुद को फ़ना
करो,
वरना खुदा के लिए किसी की ज़िंदगी ना
तबाह करो”

Karz Ki Peete The

Karz ki peete the may lekin samajhte the ki haan
rang laavegi hamaari faaka-masti ek din

Tera Intezaar Mujhe Har Pal

Tera Intezaar Mujhe Har Pal Rehta Hai,
Har Lamha Mujhe Tera Ehsaas Rehta Hai,
Tujh Bin Dhadkane Rukk Si Jaati Hai,
Ki Tu Mere Dil Me Meri Dhadkan Banke
Rehta Hai.

Adaavat Hi Sahi

Qat’a keejiye na taalluk ham se
kuchh nahi hai to adaavat hi sahi

Wo Zindagi Hi Kya

Wo zindagi hi kya jisme mohabt nhi,
wo mohabaat hi kya jisme yadein nhi,
wo yadein kya jisme tm nhi,
aur wo tum hi kya jiske sath hum nhi.

Vo Khafaa Mujh Par Huye

Etibar-e-ishq ki khana-kharaabi dekhna
gair ne kee aah lekin vo khafaa mujh par huye

Tujhe Chahta Raha Mai Is Kadar

Tujhe Chahta raha mai is kadar,
ki duniya ko bhula baitha,
teri ek hasi ke badle,
apni zindagi bhula baitha…

Unke Dekhe Se Ho Aa Jaati Hai

Un ke dekhe se jo aa jaati hai munh pe raunak
vo samajhte hain ki beemar ka haal achchha hai

Humdum To Sath Sath

Humdum To Sath Sath Chalte Hain,
Raaste To Bewafa Badalte Hain,
Tera Chehra Hai Jab Se Aankhon Mein,
Meri Aankhon Se Log Jalte Hain…

Udhar Vo Bad-Gumani Hai

Udhar vo bad-gumani hai idhar ye naa-tavaani hai
na poochha jaaye hai us se na bola jaaye hai mujh se