Mirza Ghalib Shayari - Page 4 - Hindi Shayari

De Mujh Ko Shikaayat Ki

De mujh ko shikaayat ki ijaazat ki sitamgar
kuchh tujh ko mazaa bhi mire aazaar mein aave

Husan Ghamze Ki Kashakash

Husn Ghamze Ki Kashakash Se Chuta Mere Baad;
Bade Aaram Se Hain Ahl-e-Jafa Mere Baad;
Mansab-e-Sheftagi Ke Koi Qabil Na Raha;
Hui Mazooli-e-Andaz-o-Ada Mere Baad!

Thee Khabar Garm Ki

Thee khabar garm ki ‘Ghalib’ ke udenge purje
dekhne ham bhi gaye the par tamasha na hua

Dil Se Teri Nigah

Dil Se Teri Nigah Jigar Tak Utar Gayi;
Dono Ko Ek Ada Mein Razamand Kar Gayi!

Tere Vaade Par Jiye Ham

Tere vaade par jiye ham to ye jaan jhoot jaana
ki khushi se mar na jaate agar etibaar hota

Woh Baada-E-Shabana Ki

Woh Baada-e-Shabana Ki Sar-Mastiyan Kahan;
Uthiye Bas Ab Ke Lazzat-e-Khwab-e-Sehar Gayi;
Udti Phire Hai Khaak Meri Koo-e-Yaar Mein;
Baare Ab Aaye Hawa Hawas-e-Baal-o-Par Gayi!

Tum Jaano Tum Ko Gair Se

Tum jaano tum ko gair se jo rasm-o-raah ho
mujh ko bhi poochhte raho to kya gunaah ho

Nigah Tere Rukh Par Bikhar Gayi

Har Bul-Hawas Ne Husn-Parasti Shiaar Kee;
Ab Aabroo-e-Sheva-e-Ahl-e-Nazar Gayi;
Nazare Ne Bhi Kaam Kiya Wan Naqaab Kee;
Masti Se Har Nigah Tere Rukh Par Bikhar Gayi!

Jee Dhoondhta Hai

Jee dhoondhta hai fir vahi fursat ke raat din,
baithe rahen tasavvur-e-jaanaan kiye huye.

Humne Mohabaaton Ke Nashe Mein

Hum Ne Mohabaaton Ke Nashe Mein Aa Kar Use Khuda Bana Dala;
Hosh Tab Aaya Jab Us Ne Kaha Ki Khuda Kisi Ek Ka Nahi Hota!

Humne Mohabaaton

Jaan Tum Par

Jaan tum par nisaar karta huun
mai nahi jaanta dua kya hai

Har Ek Baat Pe Kehate Ho

Har Ek Baat Pe Kehate Ho Tum Ki Tu Kya Hai;
Tum Hi Kaho Ki Ye Andaaz-e-Guftgu Kya Hai;

Ragon Mein Daudte Phirane Ke Hum Nahi Qaayal;
Jab Aankh Hi Se Na Tapka To Phir Lahoo Kya Hai;

Chipak Raha Hai Badan Par Lahoo Se Pairaahan;
Hamari Jeb Ko Ab Haajat-e-Rafoo Kya Hai;

Jalaa Hain Jism Jahaan, Dil Bhii Jal Geya Hoga;
Kuredte Ho Jo Ab Raakh, Justajuu Kya Hai!

Jab Ki Tujh Bin Nahi

Jab ki tujh bin nahi koi maujood
fir ye hangama ai khuda kya hai

Hain Aur Bhi Duniya Mein

Hain Aur Bhi Duniya Mein Sukhan-War Bahot Achhe;
Kehte Hain Ki ‘Ghalib’ Ka Hai Andaaz-e-Bayan Aur!

Ghalib Bura Na Maan

Ghalib’ bura na maan jo vaaiz bura kahe
aisa bhi koi hai ki sab achchha kahen jise

Kahun Kis Se Mai Ki Kya Hai

Kahun Kis Se Mai Ki Kya Hai, Shab-e-Gham Buri Bala Hai;
Mujhe Kya Bura Tha Marna Agar Ek Baar Hota;
Hue Mar Ke Jo Hum Ruswa, Hue Kyon Na Gharq-e-Dariya;
Na Kabhi Janaza Uthta Na Kahin Mazaar Hota!

Ghalib Chhuti Sharaab Par

‘Ghalib’ chhuti sharaab par ab bhi kabhi-kabhi
peeta huun roz-e-abra o shab-e-maahtaab mein

Teri Wafaa Se Kya Ho

Teri Wafaa Se Kya Ho Talafi Ki Dahar Mein,
Tere Siwa Bhi Hum Pe Bahut Se Sitam Hue!

Kaun Hai Jo Nahi

Kaun hai jo nahi hai haazat-mand
kis ki haazat ravaa kare koi

Saaqi Ko Kyaa Hua Tha

Main Aur Bazm-E-Mai Se Yun Tishna-Kaam Aaun,
Gar Maine Ki Thi Tauba Saaqi Ko Kyaa Hua Tha!