Josh Malihabadi Shayari - Page 2 - Hindi Shayari

Jitne Gada-Nawaaz The Kab Ke

JItne gada-nawaaz the kab ke gujar chuke,
Ab kyun bichhaye baithe hain ham boriya na poochh.

Koi Aaya Tere Jhalak Dekhi

Koi aaya teri jhalak dekhi,
Koi bola suni teri aawaz.

Is Ka Rona Nahin Kyun Tum Ne Kiya

Is ka rona nahin kyun tum ne kiya dil barbaad,
Is ka gham hai ki bahut der mein barbaad kiya.

Had Hai Apni Taraf Nahi Main Bhi

Had hai apni taraf nahin main bhi,
Aur un ki taraf khudaai hai.

Had Hai Apni Taraf

Kadam Insaan Ka Raah-E-Dahar Mein

Kadam insaan ka raah-e-dahar mein tharra hi jaata hai,
Chale kitna hi koi bach ke thokar kha hi jaata hai.

Is Dil Mein Tere Husn Ki Wo

Is dil mein tere husn ki wo jalwaagiri hai,
Jo dekhe hai kehata hai ki sheeshe mein pari hai.

Aap Se Hamko Ranj Hi Kaisa

Aap se ham ko ranj hi kaisa,
Muskura dijiye safaai se.

Aade Aaya Na Koi Mushqil Mein

Aade aaya na koi mushqil mein,
Mashware de ke hat gaye ahbaab.

Ab Ae Khuda Inaayat-E-Beja Se Faayda

Ab ae khuda inaayat-e-beja se faayda,
Maanoos ho chuke hai gham-e-jaaveda se ham.

Mila Jo Mauka To Rok Dunga

Mila jo mauka to rok dunga jalaal-e-hisaab tera,
Padhunga rahmat ka wo kaseeda ki hans padhega ajaab tera.

Mujh Ko Hosh Nahin

Mujh ko hosh nahin yum ko khabar ho shaayad,
Log kehate hain ki tum ne mujhe barbaad kiya.

Dil Ki Choton Ne Kabhi Chian Se

Dil ki choton ne kabhi chian se rehane na diya,
Jab chali sard hawa main ne tujhe yaad kiya.

Dard-E-Dil De Ke Mujhe Usne

Dard-e-dil de ke mujhe us ne ye irshaad kiya,
Jaa tujhe kashmkash-e-dehar se aazaad kiya.

Dard-E-Dil De Ke

Wo Karein Bhi To Kin Alfaaz Mein

Wo karein bhi to kin alfaaz mein tera shikwa,
Jin ko teri nigaah-e-luft ne barbaad kiya.

Wahan Se Hai Miri Himmat Ki

Wahan se hai miri himmat ki ibtida wallaah,
Jo intiha hai tire sabr aazmaane ki.