Josh Malihabadi Shayari - Hindi Shayari

Idhar Teri Mashiyyat Hai

Idhar teri mashiyyat hai udhar hikmat rasoolon ki,
Ilaahi aadami ke baab mein kya hukm hota hai.

Na Jaane Aah! Ki Unn Aansuon

न जाने आह! कि उन आँसूओं पे क्या गुज़री,
जो दिल से आँख तक आये मिश्गाँ तक आ न सके!

Utho, Chaukon, Badho, Munh Haath Do

Utho, chaukon, badho, munh haath do, aankho ko mal daalo,
Hawaaye-inkilaab aane ko hai hindostaan waalo.

Nagari Meri Kab Tak Yunhi Barbaad Rahegi

Nagari meri kab tak yunhi barbaad rahegi,
Duniya yahi duniya hai to kya yaad rahegi.

Shikaayat Kyon Kehate Ho Ye

Shikaayat kyon kehate ho ye fitrat hai insaan ki,
Museebat mein khyaal-e-esh-e-rafta aa hi jaata hai.

Hawaayen Jor Kitna Hi Lagaayen

Hawaayen jor kitna hi lagaayen aandhiyaan bankar,
Magar jo ghir ke aata hai wo baadal chaa hi jaata hai.

Kisne Waada Kiya Hai Aane Ka

Kisne waada kiya hai aane ka,
husn dekho gareeb khaane ka.

Utha Letu Hain Lehare

Utha letu hain lehare tahnasheen hota hai jab koi,
Ubharna hai to gark-e-bah-e-fana ho ja.

Ibaadat Karte Hain Jo Log

Ibaadat karte hain jo log jannat ki tamnna mein,
Ibaadat to nahin hai ik tarah ki wo tijaarat hai.

Haan Aasmaan Apni Bulandi

Haan aasmaan apni bulandi se hoshiyaar,
Ab sar utha rahe hain kisi aastaan se ham.

Kasam Hai Aapke Har Roz

kasam hai aapke har roz rooth jaane ki,
ke ab hawas hai azal ko gale lagaane ki.

Wo Ab Kahan Hai Lekin

Wo ab kahan hai lekin e hamnasheen yah to,
mud mud ke dekhne ki aadat-see ho gai hai.

Seene Pe Mere Jab Se Rakkha Hai

Seene pe mere jab se rakkha hai haath toone,
Kuchh aur dard-e-dil mein siddat-si ho gai hai.

Khanjar Hai Josh Haath Mein Daaman

Khanjar hai josh haath mein daaman lahoo se tar,
Ye uske taur hain ke maseeha kahein jise.

Phoonka Hua Hai Mere Aashiyaan

phoonka hua hai mere aashiyaan ka har tinka,
Phlak ko khoo hai to hai bijaliyaan giraane ki.

Ab Dekh Us Ka Haal Ki Aata Na

Ab dekh us ka haal ki aata na tha karaar,
Khud tere dil ko, jis pe inaayat kiye bagair.

Ab Dekh Us Ka Haal

Hashr Mein Bhi Khusarwaana Shaan Se

Hashr mein bhi khusarwaana shaan se jaayenge ham,
Aur agar pursish na hogi to palat aayenge ham.

Har Ek Kaante Pe Surkh Kirnein

Har ek kaante pe surkh kirnein har ik kali mein charaag raushan,
Khayaal mein muskuraane waale tira tabssum kahan nahin hai.

Sirf Itne Ke Liye Aankhein Hamein

Sirf itne ke liye aankhein hamein bakhshi gayi,
Dekhiye duniya ke manjar aur be-ibrat dekhiye.

Suboot Hai Ye Mohabbat Ki

Suboot hai ye mohabbat ki saada-lauhi ka,
Jab usne waada kiya ham ne etibaar kiya.