Jigar Moradabadi Shayari - Page 2 - Hindi Shayari

Teri Khushi Se Agar Gham Mein

Teri khushi se agar gham mein bhi khushi na hui
Wo zindagi to mohabbat ki zindagi na hui

Betaabiyaan Samet Ke Saare Jahan Ki

Betaabiyaan samet ke saare jahan ki,
Jab kuch na ban saka to mera dil bana diya.

Teri Aankhon Ka Kuch Kusoor Nahin

Teri aankhon ka kuch kusoor nahin,
Haa mujhi ko kharaab hona tha.

Tujhe Bhool Jaana To Mumkin Nahin Hai

Tujhe bhool jaana to mumkin nahin hai,
Magar bhool jaane ko jee chaahata hai.

Jo Na Samjhe Naaseho Phir Us Ko

Jo na samjhe naaseho phir us ko samjhaate ho kyon,
Saath deewane ke deewane bane jaate ho kyon.

Gulshan-Parast Hun Mujhe Gul Hi

Gulshan-parast hun mujhe gul hi nahin azeez,
Kaanton se bhi nibaah kiye jaa raha hun main.

Garche Ahal-E-Sharaab Hain

Garche ahal-e-sharaab hain ham log,
Ye na samjho kharaab hain ham log.

Jaan Hi De Di Zigar Ne Aaj

Jaan hi de di “Zigar” ne aaj paa-e-yaar par,
Umar bhar ki be-karaari ko karaar aa hi gaya.

Jaa Aur Koi Jabt Ki Duniya

Jaa aur koi jabt ki duniya talaash kar,
E ishq ham to ab tire qaabil nahin rahe.

Jab Mili Aankh Hosh Kho Baithe

Jab mili aankh hosh kho baithe,
Kitne haazir jawaab hain ham log.

Jise Sayyaad Ne Kuch Gul Ne

Jise sayyaad ne kuch gul ne kuchh bulbul ne kuchh samjha,
Chaman mein kitani maani-khej thi ik khaamushi miri.

Zindagi Ik Haadsa Hai

Zindagi ik haadsa hai aur kaisa haadsa,
Maut se bhi khtm jis ka silsila hota nahin.

Gark Karde Tujh Ko Zaahid Teri Duniya

Gark kar de tujh ko zaahid teri duniya ko kharaab,
Kam se kam itani to har may-kash ke paimane mein hai.

Gunaahgaar Ke Dil Se Na Bach Ke

Gunaahgaar ke dil se na bach ke chal zaahid,
Yahin kahin tiri jannat bhi paai jaati hai.

Gudaaz-E-Ishq Nahin Kam Jo

Gudaaz-e-ishq nahin kam jo main jawaan na raha,
Wahi hai aag magar aag mein dhuaan na raha.

Kya Husn Ne Samjha Hai Kya

Kya husn ne samjha hai kya ishq ne jaana hai,
Ham khaak-nasheenon ki thokar mein jamaana hai.

Kidhar Se Barq Chamakti Hai

Kidhar se barq chamakti hai dekhen e waaiz,
Main apne jaam uthaata hun tu kitaab utha.

Kya Bataaun Kis Qadar Zanzeer-E-Pa

Kya bataaun kis qadar zanzeer-e-pa saabit hue,
Chand tinke jinko apna aashiyaan samjha tha main.

Kamaal-E-Tishnagi Hi Se Bujha Lete

Kamaal-e-tishnagi hi se bujha lete hain pyaas apni,
Isi tapte hue sahara ko ham dariya samjhte hain.

Kucha-E-Ishq Mein Nikal Aaya

Kucha-e-ishq mein nikal aaya,
Jis ko khaana-kharaab hona tha.