Halaanky Humein Laut Ke Jana


Halaanky humein laut ke jana bhi nahin hai,
kashti magar iss baar jalaana bhi nahin hai.

Talwaar na chhoone ki kasam khayi hai lekin,
dushman ko kaleje se lagana bhi nahin hai.

Ye dekh ke maqtal mein hansi aati hai mujh ko,
saccha mere dushman ka nishaana nahin hai.

Main hun.. mera baccha hai.. khilono ki dukaan hai,
ab mere paas koi bahaanaa bhi nahin hai.

Pehle ki tarah aaj bhi hain teen hi shaayar,
ye raaz magar sab ko bataana bhi nahin hai. !!

Leave a comment