Daagh Shayari - Hindi Shayari

Dil Churakar Aap To Baithe Huye Hai

Dil churakar aap to baithe hue hai chain se,
Dhoondhne wale se poonchhe koi kya jata raha.

Mohabbat Mein Kare Jo Sabar

Muhabbat Mein Kare Jo Sabar Unko Daad Milti Hai,
Jise Aadat Hai Khamoshi Ki Uske Bol-Bale HaiN..

Tumhi Ne Churaya Hai Dil Wo Tumhi Ho

Tumhi Ne Churaya Hai Dil Wo Tumhi Ho,
Paraii Raqam Le Ke Itraane Wale.

Tu Jo Aiye Zulf Pareshaan Raha Karti Hai

Tu Jo Aiye Zulf Pareshaan Raha Karti Hai,
Kis Ke Ujde Hue Dil Mein Hai Thikana Tera.

Kis Museebat Mein Pada Hoon Main

Kis Museebat Mein Pada HooN MaiN Dam-e-Tehree-e-Shauq
Wo Samaa Sakta NaheeN Khat MeiN Jo Mazmoon Dil MeiN Hai.

Aati Hai Baat Mujhe Baar Baar Yaad

Aati hai baat baat mujhe baar baar yaad,
Kehata hun daud daud ke kasid se raah mein.

Aap Pachhatyen Nahin Jaur Se

Aap pachhtayen nahin jaur se tauba na karein,
Aap ke sar ki kasam Dagh ka haal achha hain.

Phalak Deta Hai Jisko Aesh

Phalak deta hai jisko aesh usko gham bhi deta hai,
Jahan bajte hai nakkare, wahi matam bhi hote hain.

Qayamat Kyon Nahin Aati Ilaahi

Qayamat kyon nahin aati ilaahi mazara kya hain,
Hamare samne pehalu mein wo gairon ke baithe hain.

Hasrat Se Us Koonche Ko Kyon

Hasrat se us koonche ko kyon kar na dekhiye,
Apna bhi is chaman mein kabhi aashiyana tha.

Saqiya Tishnagi Ki Taab Nahin

Saqiya tishnagi ki taab nahin,
Zahar de de agar sharab nahin.

Wahi Ham The Ki Roton Ko

Wahi ham the ki roton ko hansa dete the,
Wahi ham hain ki thamta nahin aansoo apna.

Bharosa Hain Khudi Par

Bharosa hain khudi par, nakhuda ki iltiza kaisi,
Meri kashti hi sahil hain, meri kashti mein hi sahil hain.

Dil Churakar Aap To Baithe Hue Hai

Dil churakar aap to baithe hue hai chain se,
Dhoondhne wale se poonchhe koi kya jata raha.

Daagh Dushman Se Bhi Jhuk Kar Miliye

Daagh dushman se bhi jhuk kar miliye,
Kuchh ajeeb cheez hai milansari.

Ab Utar Aaye Hai Woh Tareef Par

अब उतर आये हैं वह तारीफ पर
हम जो आदी हो गये दुश्नाम के

Jajb-E-Ishq Salaamat Hai

Jajb-e-ishq salaamat hai to insha allaha,
Kachhe dhage se chale aayenge sarkar bandhe.

Khoobiyaan Lakh Kisi Mein Ho

Khoobiyan lakh kisi mein ho to zaahir na karein,
Log karte hain buri baat ka charcha kaisa.

Itni Bhi Achi Nahi Bekarari

Itni bhi achi nahin bekarari,
Ab aap se uns kam karenge.

Aashiqi Se Milega-Ae-Jahid

आशिकी से मिलेगा ऐ जाहिद,
बंदगी से खुदा नहीं मिलता!