Amjad Islam Amjad Shayari - Hindi Shayari

Band Tha Darwaaza Bhi

Band tha darwaaza bhi aur ghar mein bhi tanhaa tha mein,
Tu ne kuch mujh se bola tha ya aap hi bola tha mein.

Hai Amjad Aaj Tak Woh Shakhs

Hai Amjad aaj tak woh shakhs dil main,
Ke jo uss waqt bhi mera naheen thaa..

Tum Se Bicharr Kar Pehron

Tum se bicharr kar pehron sochtaa rehtaa hoon,
Ab mein kyon aur kis ki khatir zindaa hoon..

Amjad Woh Aankhain Jheel Si

Amjad woh aankhain jheel si gehri to hain magar,
Un mein koi bhi akss bhi mere naam ka nahin.

Woh Jo Geet Tumne Suna Nahin

Woh jo geet tum ne suna nahin,
Meri umar bhar ka reyaaz tha,
Mere dard ki thi daastaan,
Jisey tum hansi mein urraa gaye..

Mile Kese Sadiyon Ki Pyaas Aur Pani

Mile kese sadiyon ki pyaas aur pani, zara phir se kehna,
Barri dilrubaa hai yeh saari kahani, zara phir se kehna..

Raiza Raiza Toot Chuka

Raiza raiza toot chuka hoon andar se,
Ghar se bahar gardan taan ke chalta hon.

Yahi Bahut Hai K Dil Us Ko

Yahi Bahut Hai K Dil Us Ko Dhund Laya Hai,
Kisi K Sath Sahi Vo Nazar To Aya Hai.

yahi-bahut-hai-k-to-ne-palat

Mai Azal Ki Shaakh Se Toota Hua

Main Azal Ki Shaakh Se Toota Hua
Phir Raha Hoon Aaj Tak Bhatka Hua.

Kisi Ki Ankh Jo Purnam

Kisi Ki Ankh Jo Purnam Nahi Hai,
Na Samajho Ye Ke Us Ko Gam Nahi Hai.

Kahan Aa K Rukne The Raste

Kahan Aa K Rukne The Raste Kahan Mor Tha Use Bhul Ja,
Vo Jo Mil Gaya Use Yad Rakh Jo Nahi Mila Use Bhul Ja.

Un Jheel Se Gehri Ankhon Me

Un Jheel Se Gehri Ankhon Me Ik Shaam Kabhi Abaad To Ho.

Mujhe Khud Se Hain Shikaytain

Mujhe Khud Se Hain Shikaytain,
Mujhe Zindagi Se Gilaa Nahin
Ke Jo Chaha Mene Woh Paa Liya,
Nahin Aesa Kuch Jo Mila Nahi
Mere Aas Paas Hai Roshni,
Mere Raaston Mein Chirag Hain.

Hum Log Na The Aise

Hm Log Na The Aise Hain Jaise Nazar Aate.

Hasti Ka Aitbaar Kiye Bagair

Hasti ka aitbaar kiye bagair reh na jaye,
Dunya hai yahan per jiye bin raha na jaye,

Kat’ti nahin yeh zindagi umeed ke bagher,
Yeh jaam woh hai jis ko piye bin raha na jaye,

Chahat ka zakhm dil ko tamasha na bana de,
Aesa hai chaak jis ko siye bin rahaa na jaye,

Dunya ke is afshaar mein hai us ki yaad yoon,
Aandhi ho tez aur diye bin raha na jaye,

Ik simt tera hukam hai, ik simt kayenaat,
Yeh bojh apne sir pe liye bin raha na jaye…