Akbar Allahabadi Shayari - Page 2 - Hindi Shayari

Kheencho Na Kamaanon Ko

Kheencho na kamaanon ko na talwaar nikaalo,
Jab top muqaabil ho to akhbaar nikaalo.

Jo Waqt-E-Khatna Mai Cheekha To

Jo waqt-e-khatna mai cheekha to naai ne kaha hans kar,
Musalmani mein taakat khoon ke behane se aati hain.

Hue Is Qadar Mohjjab Kabhi Ghar Ka

Hue is qadar mohjjab kabhi ghar ka munh na dekha,
Kati umar hotalon mein mare aspataal jaa kar.

Jawani Ki Dua Ladakon Ko Na-Haq

Jawani ki dua ladakon ko na-haq log dete hain,
Yahi ladke mitaate hain jawaani ko jawan ho kar.

Jab Mein Kehta Hun Ki Ya Allah

Jab mein kehata hun ki ya Allah mera haal dekh,
Hukm hota hin ki apna nama-e-aaamaal dekh.

Jaan Shaayad Farishte Chhod Bhi Dein

Jaan shaayad farishte chhod bhi dein,
doktar fees ko na chhodenge.

Ishq Najuk-Mijaaj Hain Behad

Ishq najuk-mijaaj hain behad,
Akl ka bojh utha nahin sakta.

Ishq Ke Ijhaar Mein Har Chand

Ishq ke ijhaar mein har chand ruswaai to hain,
Par karun kya tabiat aap par aai to hain.

Jo Kaha Main Ne Ki Pyaar Aata Hain

Jo kaha main ne ki pyaar aata hain mujh ko tum par,
Hans ke kehane lagaa aur aap ko aata kya hain.

Iss Kadar Tha Khatmalo Ka

इस क़दर था खटमलों का चारपाई में हुजूम,
वस्ल का दिल से मेरे अरमान रुख़्सत हो गया!