Ab To Mumkin Hi Nahi Unse Mulaqat Wasi


Ab to mumkin hi nahi unse mulaqat “wasi”
ab to urooj pe puhanchi hai uski zaat “wasi”

wahi wady hain aur rasmon ki zanjiren baqi
kab badalti hain zamany ki riwayat “wasi”

aik wo din thy k ek dosry ko sochty the hum
ab milty nahi dono k khayalat “wasi”

meri her subha ka aghaz tery naam se ho
teri yadon mai kati meri her aik raat “wasi”

tum kahan aur mery piyar ka miyar kahan
wo kitni sadgi se ker gaya ye baat “wasi

ab-to-mumkin-hi-nahi-unse-mulaqat-wasi
Category: Wasi Shah Shayari

Leave a comment