|
|||||||
| Register | Games | Invite | FAQ | Members List | Calendar | Smilies | Sudoku | Search | Today's Posts | Mark Forums Read |
![]() |
|
|
Thread Tools | Search this Thread |
|
#1
|
|||
|
|||
|
Dur kahi do unche paththaron ke bich ek thande shole ke gole sa dikh raha he,
Kuch der pehle wahan kuchch bhi na tha, Kuchh dhoond ki girhe abhi bhi kahi kahi chhayi hui he, Aangan me woh gulab ke phool par kucchh pani ki bunde thehri hui he, Jaise meri mehbuba abhi abhi nahayi hui mere samne khadi ho, Phool ki kali zara zara si khuli hui aur juki hui he, Meri mehbuba bhi waise hi toh sharmaya karti he, Door uffak me kuchh taaren abhi bhi bujhte huve diye manind chamak rahe he, Woh dhruv ke taaren ko dekh kar... Mujhe apne pyar ki nischalta mehsus hoti he. Meri dilruba chand-taaron ke khwab bunti he, Unke hi tasavvur me khoyi rehti he, Suna he maine ki subah ke sapne sach hote he. Ha, subah ho chuki he…. Aur uske khwab haqiqat me tabdil hone lage he, Usko abhi tak dekha nahi, Par yeh yakin he mujhko…. Taaren uske maathe ki bindiya honge, Chand jaise uski surat par mar mitne ko har dam taiyar rehta hoga, Suraj uska roop dekh kar khud, khud ko bennur sa mehsus karta hoga. Me khud apne aapse puchchh ta hu ki, Kya me is kaynate husn ka tasavvur bhi kabhi khwab me kar sakta tha, Nahi kabhi nahi…. Toh mujh par kudrat itni meharban kyu? Ha, shayad uski tarah me bhi kudrat ka diwana hu, Ya fir uski tarah me bhi chand-taaron ke khwab bunta hu, Magar fark itna hi he ki mere chnad aur taaren meri mehbuba khud hi he, Isi liye, ha, shayad isi liye….
__________________
Humen yu dekh na aise, na ho badnaam ho jaye,
Yeh mumkin he isi ka kal mohabbat naam ho jaye. |
| The Following User Says Thank You to rajveer_1482 For This Useful Post: | ||
|
#2
|
||||
|
||||
|
bahut bahut bahut khoob likhya
__________________
ਜਿੰਦਗੀ ਤਾ ਆਪਣੇ ਹੀ ਦਮ ਤੇ ਜੀਅ ਹੁੰਦੀ ਹੈ↓
ਦੂਜਿਆ ਦੇ ਮੋਢਿਆ ਤੇ ਤਾਂ ਅਰਥੀਆ ਉਠਦੀਆ... |
|
#3
|
||||
|
||||
|
kya baat hai
__________________
![]() pareshan nhi hunda "BhAtiA" zindgi diya thokraan to, naam WAHEGURU da leke sambhalan di aadat eh mainu.... ![]() |
![]() |
| Thread Tools | Search this Thread |
|
|