Jo hakeekat me mili na , mil gayi kal khvaab me ;
lad ke vo masoom boli , aate ho kyon khvaab me .
kuchh dino tak aur zinda rahne ki soorat bani ;
khel kar jakhmo se , taaza kar gayi vo khvaab me .
pahle bhi ladti thi khub , ladne ke dhang me pyaar tha ;
pyaar apne dhang se vo chhalka gayi fir khvaab me .
aag muddat se judaayi ki dahakti dil me thi ;
garaj kar , fir baras kar usne bujhaayi khvaab me .
ik kashmkash uske poore jism se thi jhaankti ;
paanv the usse khapha , rukhsat huyi jab khvaab me .
aankh se ojhal huyi fir bhi dikhi vo der tak ;
ye karishma bhi mujhe dikhla gayi vo khvaab me .
mujhko lagta tha mahaj mere hi khvaabon me hai vo ;
mai bhi dikhta hoon use , jatla gayi vo khvaab me .
us hakeekat ka karoon kya jisme vo na mil sake ;
kaash poori zindagi kat jaaye yoon hi khvaab me .
Author~~~Dr. Rakesh Srivastava
Vinay khand-2,Gomti Nagar,Lucknow.
-------------------------------------------------------------------------
ग़ज़ल गा के देखो
जो हकीक़त में मिली ना , मिल गयी कल ख़्वाब में ;
लड़ के वो मासूम बोली , आते हो क्यों ख़्वाब में .
कुछ दिनों तक और ज़िन्दा रहने की सूरत बनी ;
खेल कर ज़ख्मों से , ताज़ा कर गई वो ख़्वाब में .
पहले भी लड़ती थी ख़ुब , लड़ने के ढँग में प्यार था ;
प्यार अपने ढँग से वो छलका गई फिर ख़्वाब में .
आग मुद्दत से जुदाई की दहकती दिल में थी ;
गरज कर , फिर बरस कर उसने बुझाई ख़्वाब में .
इक कश्मकश उसके पूरे जिस्म से थी झाँकती ;
पाँव थे उससे ख़फ़ा , रुखसत हुई जब ख़्वाब में .
आँख से ओझल हुई फिर भी दिखी वो देर तक ;
ये करिश्मा भी मुझे दिखला गई वो ख़्वाब में .
मुझको लगता था महज़ मेरे ही ख़्वाबों में है वो ;
मैं भी दिखता हूँ उसे जतला गई वो ख़्वाब में .
उस हकीक़त का करूँ क्या जिसमें वो ना मिल सके ;
काश पूरी ज़िन्दगी कट जाए यूँ ही ख़्वाब में .
रचयिता ~~~डॉ . राकेश श्रीवास्तव
विनय खण्ड -2,गोमती नगर ,लखनऊ .
-------------------------------------------------------------------------



Reply With Quote



Mafia Mandeer
