Tum rooth jao mujh se, aisa kabhi na karna
main ik nazar ko tarsoon, aisa kabhi na karna,
main poochh poochh haaron, so so sawal kar ke
tum kuch jawab na do, aisa kabhi na karna,
tum mujh se mil ke hasna, mujh se hi mil ke rona
mujh se bichar ke jee lo, aisa kabhi na karna,
tum chand ban ke rehna, main dekhti rahongi
kisi roz tum na niklo, aisa kabhi na karna,
tum chale jao jab bhi, dekhon tumhara raasta
tum laut ke na aao, aisa kabhi na karna.......





Reply With Quote




