PDA

View Full Version : Aaj kehte hain…


kamalthind
22nd December 2008, 08:00 PM
Aaj kehte hain…..
Tu kya, tera wajood hai kya…..
Tere pyar se maine paya hai kya…..

Ye to meri kismat thi…..
Jo pahucha sitaroon tak….
Tu kya banaati mujhe….
Tune khud ko banaya hai kya…..

in aankhon mein…..
Sameta sara samunder maine…..
Apni do boond ashkon ko….
Tu samet payi hai kya…..

Duniya ki har khushi hai….
mehfilon mein mere bahar hai….
Khali tere haath hain aaj…..
Tune mujhe diya hai kya…..

Raftaar meri koi pakad na paya …..
Vakt bhi mere aage bad na paya…..
Tu kya daudna seekhata mujhe….
Do kadam aage bad paya hai kya…..

Hausla dekho, toofaan se takraya…..
Saahil tak tair ke pahuch aaya…..
Tu kya banta naa khuda mera…..
Apne safine ko bacha paya hai kya…..

Bhoola diya gujra har lamha…..
Bhoola diya ehsaas bhi tera…..
Tu kya sikhati bhoolana mujhe…..
Khud ko bhoola payi hai kya….

Thokar kabhi na khayi maine…..
Makhmal si rah hamesha paayi maine….
Tu jo girti rahi yunhi "KaMaL"….
Khud ko utha payi hai kya…..

Aaj kehte hain…..