kamalthind
20th December 2008, 02:06 PM
yaadon ke pal jud jud kar daastan bana jaate hain,
lamhon se lamhen milkar karvaan ban jaate hain.
vo..pahli mohabbat mein kaise mile the hum unse...
aankhen jab mili dil gaya begaane hue hum khudse...
hai vo jaalim intzaar kaisa tha bedardi
na koi taarikh na koi mahina sabr ki intaah kar di
aur jab vo mile to aise mile ki kabhi jaise bichade hi na the
shikve shikayat sab kehna to chahe par harf jubaan se nikle hi naa the
un yaadon ke karvaan mein vo maasoomiyat chahat ki aaj bhi jinda hai
waqt aage nikal gaya hai kahin par un yaadon mein dil ka koi hissa ab bhi jinda hai.