gabru
9th April 2009, 04:47 PM
ek kanjoos vayapaari (bussinessman) ne din raat karke, lein dein karke, 3 crore sone ke sikke (goldcoins) kama liye. uske paas jameen, makaan, haveli, gaadiyan sab kuch tha. usne socha sari zindagi kamaane mein bita di,
abb saal bar aaram se mauj masti ki jaaye.
usne yeh socha hi tha ki maut uske saamne aa khadi huyi.
maut ne kaha, chalo, waqt aa gaya.
vayapaari:- arey, abhi kaise? abhi to maine kuch kiya bhi nahi.
keval paise kamaye hain. thoda kharch karne, zindagi ka maza laine,
duniya ko dekhne ki bhi mohlatt milni chahiye.
maut ne kaha:- kuch nahi, waqt ho gaya chalo.
vayapaari chouka:- arey, yeh kya baat hai?
chalo aisa karo mujhe saal bhar ki mohlatt dedo, main ek crore sone ke sikke tunhe ya jisse kaho dene ko tayyar hoon.
maut ne kaha :- waqt ho gaya chalo.
vayapaari ne keemat badhayi, phir waqt ghataya:- ek maheena bas, 2 crore doonga.
maut ne ek hi jawab diya:- waqt ho chuka hai.
vayapaari ne phir bhaav bhadaya:- bas sirf saat din, 3 crore.
par maut par iss baat ka koi asar nahi.
vayapaari ne kaha:- ek din, 2 crore le lena.
par yehe bhi bekaar gaya.
vayapaari phir bola:- acha 1 ghanta(hour), 3 crore le lena.
maut ne kaha:- nahi waqt ho chuka hai.
vayapaari ne kaha:- theek hai, jaate-2 ek line to likh lene do.
theek hai, maut ne uss se kaha.
vayapaari ne ek kagaz par likha:- waqt ki keemat jaante huye zindagi ka har pal jiyo, main 3 crore sone ke sikko main bhi ek ghanta nahi khareed paya.
iss ke baad vayapaari ne dum tod diya.