PDA

View Full Version : Izhaar na kar paye


Vikash ks
3rd March 2009, 03:52 PM
Jisko chaha hamne usse ezhaar na kar paye,
Pal pal marta gaya par ikraar na kar paye.
Jisne mujhe chaha wo ekraar to kar paye,
Par sari zindagi hum unko pyaar na kar paye.
Isi ulat fer me guzaar di sari zindagi hamne,
Na hans paye na ro paye Na ji paye aur na mar paye