bad_chand
26th November 2009, 11:31 AM
Ab tou us lumhay ka intazaar hai sirf
Jis mein na durh ho, na khouf ho
Na ghamoun ka koi saath ho
Jis mein alaam say firaq ho
Jis mein munzil ka tawaf ho
Ab tou us lumhay ka intazaar hai sirf
Jis mein hijr ho, azaadi ho
Jis mein duri or milaap ho
Jo rungoun ka ikhtilaaf ho
Jis mein bayjaan honay pay jaan ayay
Jis ki haqeeqat mein khuwab sama jayay
Jis mein sansoun ka thumao ho
Jis mein zindagi ka jhukao ho
Jis mein is qafs say nijaat ho
Jis mein hayaat ka ayteraaf ho
Jis mein ankhein bund honay pur bhi
Hum pur roshni ka ghilaaf ho
Jis mein na durh ho, na khouf ho
Na ghamoun ka koi saath ho
Jis mein alaam say firaq ho
Jis mein munzil ka tawaf ho
Ab tou us lumhay ka intazaar hai sirf
Jis mein hijr ho, azaadi ho
Jis mein duri or milaap ho
Jo rungoun ka ikhtilaaf ho
Jis mein bayjaan honay pay jaan ayay
Jis ki haqeeqat mein khuwab sama jayay
Jis mein sansoun ka thumao ho
Jis mein zindagi ka jhukao ho
Jis mein is qafs say nijaat ho
Jis mein hayaat ka ayteraaf ho
Jis mein ankhein bund honay pur bhi
Hum pur roshni ka ghilaaf ho