malkisukh
1st September 2009, 07:33 PM
Rub ko dil mein basaya to hota;
sajday mein sar ko jhukaya to hota,
Mil jati tujhay bhi daolat sukoon ki;
ek ashk e nadamat bahaya to hota,
Sanson mein basti mahobat ki khushboo;
ye phool dil mein khilaya to hota,
Junbish-e-abroo pe kartay jan nisar;
zra rukh say pardah uthaya to hota,
Mahtab jan jata haqiqat tu apni;
aaiyna khud ko dikhaya to hota....!!!!
sajday mein sar ko jhukaya to hota,
Mil jati tujhay bhi daolat sukoon ki;
ek ashk e nadamat bahaya to hota,
Sanson mein basti mahobat ki khushboo;
ye phool dil mein khilaya to hota,
Junbish-e-abroo pe kartay jan nisar;
zra rukh say pardah uthaya to hota,
Mahtab jan jata haqiqat tu apni;
aaiyna khud ko dikhaya to hota....!!!!